September 5, 2021
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1295
Shikshak Divas
Shikshak Divas ke avsar par,
Har adhyaapak, adhyaapika, Guru, aur murshid ko pranaam,
Shikshak ke dwara shishya ka ho jaata hai kalyaan,
Achche shikshak ko paakar shishya ho jaata hai dhanwaan.
Hum sab bahut dhanwaan hain,
Hamein pooran Guru ke roop mein miley Bhagwaan Hain,
Jitne bhi hamaare imtehaan hain,
Ve hamaare liye amrit kee khan hain.
Shikshak Divas hai aaya ek varsh ke baad,
Guruji sabhi shishyon ko de rahein Hain ashirwaad,
Saari sangat hai Guruji kee shishya aur aulaad,
Guruji ka kaha hua har vachan hai sangat ke liye prasad.
Guruji ne hee sikhaaya hamein,
Karna paath aur simran,
Na bhi samajh aaye gurbani,
Toh bhi shant ho jaata hai mann.
Guruji ne samjhaaya ki gupt rakhein hum paath, sewa, aur daan,
Taaki inke anushthaan se ho hamaara uchchatam kalyaan,
Guruji bataayein ki hamein karna chaahiye sarvsamarpan,
Aur Unmein magn rehna chaahiye har kshan.
Satsang mein har tarehn ke anubhav sunvaate Hain Guruji,
Shishyon ko darshan dene aate Hain Guruji,
Paath mushkil ho toh baar baar samjhaate Hain Guruji,
Phir bhi uljhan ho ya sawaal ho toh unhe sulajhaate Hain Guruji.
Anivaarya hai Guruji se seedhi taar jodna,
Aur Unse duur rakhne wale har bandhan ko todna,
Guruji kahein ki hum na karein andhvishwaas,
Aur karein atma-bal badhaane ka prayaas.
Guruji ne kahi ek aur bahut zaroori baat,
Ki hum Unka shukrana karein din aur raat,
Aur har pal hum dein sheeltaa ka saath,
Aur doojon kee sahaayata ke liye badhaayein haath.
Na kar sakein jo kisee kee sahaayata,
Toh bhi savinay bhaav se baat karein,
Neeven rahein, kadve bol na kahein,
Sach kehne se kabhi na darein.
Guruji ka dikhaaya yeh raasta shaayad na lagey aasaan,
Lekin jabb murshid hee swayam Hain hamaare Bhagwaan,
Toh har kadam par Ve Hain angg-sangg,
Aur parakh rahein Hain har shishya ke jeene ka dhangg.
Kathin bhi ho agar yeh imtehaan,
Toh bhi faayde mein hai insaan,
Neeyat nek ho, toh milta hai abhay-daan,
Pareeksha mein safal honei ka poora hota hai armaan.
Isliye, aaj ke is Shikshak Divas par,
Guruji ke charnon mein shat shat naman,
Guruji ke dwara rachi gayi is jeevan roopi paathshaala mein,
Antt mein pareeksha mein safal hota hai har jann.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja