Atma Ka Aadhaar (09/06/2021)

September 6, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1296

              Atma Ka Aadhaar 

Dil se jodo rishta, usee mein hai sachcha pyaar,
Dimaag se jodey rishte kaheen bann na jaayein vyaapaar.
Bheetar se aur baahar se neeven honei mein hai antar,
Kyunki jhukni chaahiye atma, na ki kewal hamaara sir.

Guruji ko rijhaane ka nibhaao dharam,
Banda bannkar sudhaaro apne karam,
Vyaapaar ke lein dein mein hoti karyavahi hai,
Dil ke rishte mein hoti karmon kee safaai hai.

Pichhle janmon ke karam jo abb takk nahin thei suljhe,
Na bita dena is jeevan ko unhee mein aur bhi uljhe,
Kyunki yeh jeevan mila hai karmon ke hisaab ko chukaane ke liye,
Na ki karmon ke bojh ko aur bhi badhaane ke liye.

Guruji paalanhaar Hain, Guruji Taaranhaar Hain,
Guruji bakhshanhaar Hain, Guruji Parwardigaar Hain,
Ve har pal hamaari madad kar rahe Hain,
Unhonei hamaare karmon ke adhiktar bojh sahe Hain.

Aagey bhi sahenge Ve sab kuch hamaare liye,
Ve hee jaanein humne pichhle janmon mein kya karam hain kiye,
Jitna shukrana kiya jaaye Guruji ka, veh nahin hai kaafi,
Kyunki aur koi divya shakti nahin de sakti hai itnee maafi.

Aisa na ho ki jabb takk hum samajh paayein is tathya ko,
Tabb takk bhautikvaad mein bhool chukey hon hum is satya ko,
Kyunki koi bhi beeta pal laut kar nahin aayega,
Aur har aane wale kal mein aaj ka har pal samaayega.

Antt mein hum haath malte hee na reh jaayein kaheen,
Hamaare swaarth ke bhaar se na lajjit ho jaaye yeh zameen,
Hamaare abhimaan se sharminda na ho jaaye aasmaan,
Isliye Bhagwaan se kshamaa maang lein hum insaan.

Guruji kshamaasheel Hain, hamein yeh gyat hai,
Isliye Unke aagey hichkichaane kee nahin koi bhi baat hai,
Arey, har lamha jin maalik kee dee hui daat hai,
Toh phir yeh poora jeevan Unhee kee toh dee hui saugat hai.

Isliye na likhwaao karmon kee kitaab mein,
Agley janam ke liye aur hisaab,
Paane do apni atma ko,
Mukt honei ka khitaab.

Rishton mein vyaapaar nahin, balki niswaarth pyaar kee neeyat rakho,
Apne liye achche karmon kee vaseeyat likho,
Taaki jabb tum jaao uss paar,
Toh tumhaare saath na ho koi bhi vyaapaar.

Vyaapaar ke bajaaye vahaan bhi buss niswaarth pyaar ho,
Karmon ka khaata shoonya ho taaki atma par na koi bhaar ho,
Swacchandataa ho atma ka aadhaar,
Aur Guruji ke divya prakash se ho jaaye tumhaara deedar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Atma Ka Aadhaar (09/06/2021)

Leave a comment