Udhaar Kee Zindagi (09/12/2021)

September 12, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar šŸ™šŸ»šŸ™šŸ» # 1302

            Udhaar Kee Zindagi

Kuch bhi toh nahin hai hamaara yahaan,
Na ye shareer, na ye atma,
Na ye waqt, na ye jahaan,
Na zameen, na aasmaan.

Jo saans bhi hum lete hain,
Usey bhi lekar chod dete hain agley hee pal,
Saansein takk bhi hain udhaar kee,
Yahee kahaani hai har janam aur har baar kee.

Lekin dena hee padega imtehaan,
Kyunki aisa hukm de rahey Hain Bhagwaan,
Isliye jo zindagi milee hai udhaar mein,
Uska uddhaar basaa hai uske sudhaar mein.

Guruji kee sharan mein nishchitt hai yeh sudhaar,
Lekin, swayam ko yaad dilaana hoga baar baar,
Ki maangne wale nahin bann-na,
Chaahe mann mein jaisi bhi ho tamanna.

Guruji jaante Hain hamein humse bhi zyaada,
Ve pehchaante Hain hamaara har iraada,
Isliye soch aur karam ko nek rakhna hai zaroori,
Taaki zindagi jeete huey hee mukti se mitt jaaye har duuri.

Aasaan beshaq na ho aisa hona, lekin namumkin bhi nahin hai,
Guruji jo raah dikhaate Hain, vahee hamaare liye sahi hai.
Unhee kee mehar se sewa, simran, aur satsang kee miltee hai daat,
Unhee ke ashirwaad se hee banti hai har bigdee baat.

Hamein toh itna bhi gyat nahin hai ki aglee saans bhi le paayenge ya nahin,
Isliye kyun na maan lein jo baat Guruji ne hai kahee?
Unhee se jode rakhein seedhi taar,
Kyunki ek Ve hee hamein sakte Hain taar.

MahaShiv Hain Ve, har yug ke swami,
Bhaktvatsal Hain Ve, aur Hain Ve antaryaami,
Insaaniyat ka paath Ve padhaate Hain,
Apne hee tareeke se samjhaate Hain.

Guruji se dua karein ki Ve dein hamein subuddhi,
Aur uss subuddhi ka upayog karne kee hamaare chitt ko dein shuddhi,
Taaki jaisa Ve chaahein, hum vaise bann jaayein,
Aur Unke deeye huey insaaniyat ke imtehaan mein safal ho paayein.

Guruji ne hamein is imtehaan ke kaabil samjhaa, isliye Unka dhanyawaad,
Imtehaan mein kaamyaab honei ke liye maangein Unse ashirwaad,
Taaki sudhaar laayein is zindagi mein jo hai Unka deeya hua prasad,
Aur udhaar kee is zindagi kee har saans ho Guruji ke naam se aabaad.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji šŸ™šŸ»šŸ™šŸ»
Dhirja

Udhaar Kee Zindagi (09/12/2021)

Leave a comment