September 13, 2021
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar šš»šš» # 1303
Uss Pyaar Ka Deedar
Na samay ka bandhan,
Na chayyn ka khandan,
Sirf Guruji ka vandan,
Aur uss vandan ka spandan.
Na koi roak-toak kee pareshaani,
Na bewafaai na beimaani,
Sirf Guruji kee kahaani ruhaani,
Aur uss kahaani kee zubaani.
Na koi bhayy,
Na koi sanshay,
Sirf bhakti ka nishchayy,
Aur uss nishchayy kee layy.
Na koi niyam ya reet riwaaj,
Na koi andhvishwaas,
Sirf Guruji par vishwaas,
Aur uss vishwaas ke ehsaas.
Na koi abhimaan,
Na koi maan apmaan,
Sirf Guruji ka naam,
Aur uss naam ka gungaan.
Na koi ghaav,
Na koi abhaav,
Sirf Guruji mein bhaav,
Aur uss bhaav se lagaav.
Na koi sakhti,
Na koi aasakti,
Sirf Guruji kee dee hui mukti,
Aur uss mukti kee yukti.
Na koi deewaar,
Na koi prachaar,
Sirf Guruji ka pyaar,
Aur uss pyaar ka deedar.
š¹š¹š¹š¹š¹š¹š¹
Jai Guruji šš»šš»
Dhirja