September 22, 2021
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1312
Sabse Mahatvapoorna Kartavya
Guruji Maharaj kee mehar ho rahi hai,
Ye mehar aathon pehar ho rahi hai,
Isliye jo ho raha hai vahee sahi hai,
Is satya mein koi sanshay nahin hai.
Kuch pichhle karmon ka zaroor hoga silsila,
Jinkee vajeh se vartmaan murajhaaya ya khila,
Saath hee aur karam hum sab kar rahe hain,
Kuch jann kewal Guruji kee sunte hain, toh kuch kalyugi bal se dar rahe hain.
Khaate mein likha jaa raha hai aaj ka bhi karam,
Aur likha jaa raha hai kaun kaise nibhaa raha hai insaaniyat ka dharam,
Har shaks ka Guruji ke paas hisaab hai,
Jisne yahaan pehna nakaab hai, vahaan uskee bhi khuli hui kitaab hai.
Ye kalyugi bal hai hee itnee oorja wala,
Ki bheed mein khoya insaan bhool gaya hai bal dooja wala,
Dar-asal veh dooja bal hee sabse pradhaan hai,
Kyunki uss bal ka swami swayam Bhagwaan hai.
Yeh dooja bal hai hamaari apni adhyaatmik shakti,
Jisey ujjwal rakhti hai niswaarth bhakti,
Isliye yeh dooja bal hee hai sarv-pratham,
Lekin kalyuga mein iska prataap bhoolte jaa rahe hain hum.
Kalyugi bal kee nakaraatmakta shaktishali zaroor hai,
Aur adhyaatmikta mein jo ksheen hai veh ho jaata majboor hai,
Tabhi toh aawashyak hai sunn-ni apne antar- mann kee baat,
Jiske liye bheetar jaane kee Guruji Maharaj ne dee hai daat.
Iske liye agar duur rehna padey kalyugi kolaahal se,
Toh usee mein kalyaan hai,
Kyunki antar-mann kee gehraaiyon mein,
Basaa Guru roopi Bhagwaan Hai.
Apne bheetar jhaank kar dekhein hum simran aur dhyan ke dwaara,
Aisa shubh mauka shaayad na miley kabhi dobara,
Guruji se seedhi taar jod kar kewal kehna hee nahin, balki sunn-na hai Unka bhi kehna,
Kyunki hamaara sabse mahatvapoorna kartavya hai Guruji ke hukm mein rehna.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja