September 24, 2021
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1314
Aap Hain Daata, Mai Hoon Ek Fakeer
Pyaare Guruji,
Har uss dukh ka shukrana,
Jo mujhe Aapke kareeb laaya,
Aapki sharan ka shukrana,
Jisne mera naseeb jagaaya.
Uss nuksaan ka shukrana,
Jis se itna munaafa hua mera,
Kyunki Aap ke charnon mein jageh milee,
Jis se jeevan mein hua savera.
Uss bhayy ka shukrana,
Jiske kaaran Aapne diya abhay daan ka phal,
Uss akelepan ka shukrana,
Jiskee vajeh se mai Aapka saath maangne lagi har pal.
Uss ekaant ka shukrana,
Jis se bheed mein jaane ka dil hee na kiya,
Har uss simran ke pal ka shukrana,
Jisne ekaant ko Aapke rangg se rangg diya.
Har uss bewafaa ka shukrana,
Jisne zindagi mein dhokha diya,
Aapki mehar se har dhokhe ne,
Aapke aur bhi kareeb aane ka mauka diya.
Har pyaar dene wale ka shukrana,
Kyunki bade naseeb se milta hai doojon ka pyaar,
Doosaron ko pyaar de paane kee daat ka shukrana,
Jis se khushi se khil uthta hai khud ka bhi sansaar.
Mitron aur parivaar ka shukrana,
Jinse jeevan mein jaagrit rehte hain sanskaar,
Prakriti ke har rangg ka shukrana,
Jismein basey Hain Aap Parwardigaar.
Uss maati, jal, dharti, agni, aur akash ka shukrana,
Jinke bina kisee ka bhi astitva nahin,
Uss soch aur neeyat ka shukrana,
Jiske bina sewa aur karam ka poora mahatva nahin.
Uss sangat ka shukrana,
Jinse seekhne ko milta hai satyuga aur kalyuga ke baare mein,
Har uss shabad ka shukrana,
Jo sunn-ne ka avsar milta hai Aapke dwaare mein.
Uss langar prasad ka shukrana,
Jo bakhshta hai aarogyataa,
Uss nazariye ka shukrana,
Jo sweekriti mein karta hai sahaayataa.
Shareer ke har angg aur indriyon ka shukrana,
Jis se dincharya chalti hai,
Har subah, har dopehar ka shukrana,
Jo shaam aur raat ka roop lekar dhalti hai.
Bhakti kee daat ka shukrana,
Shakti kee saugat ka shukrana,
Aapke chintan ka chaarul chaman dene ka shukrana,
Aapke vandan ke vinamr kshan dene ka shukrana.
Har saans se bhi Aapka shukrana kehti jaaoon toh kumm hai,
Aapki mehar se jisey na jhel sakoon aisa na koi gumm hai,
Aagey bhi har lamhe mein saath ke paawan vaade ka shukrana,
Aapki karuna se chalta rahega waqt ka aana jaana.
Abb toh mann mandir mein basey Hain Aap aur Aapki tasveer,
Aapki kripa se akhandata aur
satyanishtha se sajaa rahe zameer,
Aap Hain daata, mai hoon ek fakeer,
Jiskee Aapne sanvaari hai taqdeer.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja