October 1, 2021
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1321
Andhera-Ek Beeti Hui Kahaani
Sach hai ki andhere mein
Beshak na milein ujaale ke liye sainkdon deeye
Lekin ek deeya bhi jo jal jaaye
Toh kaafi hai andhere ko mitaane ke liye.
Maana ki kalyugi andhere ka hai raaj
Magar MahaShiv Guruji Hain hamaare sartaaj
Anginat deeye bhi ek saath utna prakash nahin de sakte
Jitna prakash hamaare Guruji dete huey nahin Hain thakte
Phir kaahe kee pareshaani
Aur kaahe ka phir gumm
Jabb Guruji ne sabse badi uljhan
Suljha kar kar dee hai kumm
Sach mein, yahee hai uljhan sabse badi
Ki tamogun ke andhkaar mein duniya hai padi
Baahari ujaala toh hai dhokha
Lekin Guruji de rahein Hain mauka.
Mauka, apne bheetar ujaale ko paane ka
Mauka, apne bheetar ujaale ko apanaane ka
Mauka, bann-ne ka satvagun ke prakash ka hissa
Mauka, ki sudhaar lein hum apni kismat ka kissa.
Guruji ka simran, Guruji ka dhyan
Guruji kee mahima ka gungaan
Guruji ko sarv-samarpan
Kshama yachna, aur Guruji ka vandan
In sabse kismat khil jaayegi
Kyunki inhee se sahi raah mil paayegi.
Paapon kee mayl dhul jaayegi
Toh antar-mann kee aankh khul paayegi
Dikhne lagega sab kuch saaf
Changi neeyat dekh kar Guruji kar denge maaf.
Baahar bhi aur bheetar bhi apni leela dikhaayega Guruji ka prakash
Atma-bal ko akhandata dekar atma-vishwaas dilaayega Guruji ka sakaash
Raahein hongi ujjwal
Antar-mann hoga nirmal
Saadagi banaayegi jeevan ko saral
Saralta banaayegi swabhaav ko komal.
Andhera bann ke reh jaayega ek beeti hui kahaani
Guruji kee mehar se is tareh se sanvar jaayegi zindagaani
Mann kee haveli divyata ke vaas se ho jaayegi ruhaani
Guruji ke prakash kee kiranon ke asar se har bhakt par chhaayega tej noorani
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja