Mai Toh Har Pal Vaari Jaaoon (10/04/2021)

October 4, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1324

      Mai Toh Har Pal Vaari Jaaoon

Guruji ke pyaare pyaar par
Mai toh har pal vaari jaaoon
Guruji ke khayaalon mein rehkar
Apna jeevan sanvaari jaaoon.

Guruji kee mahima ke nagme
Magn hokar mai gaati jaaoon
Mere Guruji kitne pyaare Hain
Sabhi ko mai bataati jaaoon.

Jabb se hoon Guruji kee sharan mein mai aayi
Aksar bin vajeh hee muskuraati jaaoon
Unkee kripa se apne hriday ke aangan mein
Unka divya roop basaati jaaoon

Apne mann-mandir mein prem se
Shraddha kee jyot jalaati jaaoon
Guruji ne sangat se kaha, β€˜banda bann’
Isliye khud ko insaaniyat ka paath yaad dilaati jaaoon.

Antar-mann ke maathe par
Guru naam ka tilak mai lagaati jaaoon
Har din ko tyohaar kee bhanti
Unkee kripa se mai manaati jaaoon.

Koi uljhan jo aaye jeevan mein
Guruji kee mehar se mai usey sulajhaati jaaoon
Guruji har pal angg-sangg Hain
Swayam ko mai samjhaati jaaoon.

Shukrana ke geet gaakar
Guruji ko mai rijhaati jaaoon
Is jeevan ko Guruji ka diya uphaar jaankar
Mai jeene kee reet nibhaati jaaoon.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Mai Toh Har Pal Vaari Jaaoon (10/04/2021)

Leave a comment