Antaratma Kee Ansuni Awaaz (10/05/2021)

October 5, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1325

        Antaratma Kee Ansuni Awaaz

Shareer mein bandhi atma laukikta ko sehti jaaye
Mukt honei kee intazaar mein yoon hee rehti jaaye
Abb toh sunn lein hum apni antaratma kee ansuni awaaz
Bheetar jaayenge toh hee jaan paaoge uska raaz.

Jitnee saansein Guruji hamaare jeevan mein likhte Hain
Unmein se kitnee reh gayin, hamein na ve dikhti hain
In saanson ko lete huey atma ko kasht kyun dete rahein hum
Isliye chaahe zindagi mein aaye khushi ya phir aaye gumm
Usey samajh kar zindagi ke is naatak ka bhaag
Hum prayaas karein ki hamaari chetna jaaye jaag.

Kyunki jiskee chetna hee na jaagi ho
Veh shakhs toh jaagte huey bhi so raha hai
Kyunki veh jaane ya anjaane mein
Yahaan ke maya jaal mein kho raha hai.

Guruji kehte Hain ki hum karein Unka simran aur dhyan
Isee raaste par paayenge hum veh hunar aur veh gyan
Jis se hum sunn sakenge antaratma kee ansuni awaaz
Aur jaan paayenge veh bataana chaahti hai jo raaz.

Is safar mein alag chal raha hai har insaan
Is safar par pehra de rahe Hain Bhagwaan
Hamein mila hai Guruji ka paawan naam
Jo pahunchaa sakta hai hamein
sachkhand ke dhaam.

Isliye bina kiye deri
Bin kiye koi herapheri
Shradddha se hum chalte rahein
Taaki baad mein haath na malte rahein.

Guruji par ekaagrachitt rehne ka karein prayatna
Antaratma kee azaadi ka karte rahein yatna
Guruji kee mehar se sureele sur se sajega saanson ka saaz
Jabb sunaayee degi veh awaaz aur jabb khulega veh ruhaani raaz.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Antaratma Kee Ansuni Awaaz (10/05/2021)

Leave a comment