Jagg Kee Aakriti (10/12/2021)

October 12, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1332

                  Jagg Kee Aakriti

Bahut zaroorat hai duniya ko achchi soch wale insaanon kee
Kyunki kalyuga mein badhauti ho rahi hai nukasanon kee
Nuksaan charitra ke dhan ka
Nuksaan imaan ke ratna ka.

Maanav ka ho gaya hai asur bhaav
Vikaaron ke vish se dooshit hua hai svabhaav
Aisa nahin ki sadaachaari nahin hai mil paati
Lekin veh Id ke chaand se bhi kumm hai nazar aati.

Aisa kyun hua, isee soch mein abb aur samay na ganvaao
Jadtaa kee neend se jaago, aur doosaron ko bhi jagaao
Gyan ka shastra bahut paawan hai, is shastra se agyanta ko mitaao
Aur apni oar se cheshta karke is jagg ke kaam aao.

Kuch uljhaa hua nahin karna hai
Buss, sachchaayee se nahin darna hai
Satya ka saath dekar bann-na hai satyataa ka ek nek udaaharan
Baaki Guruji par chodna hai kyunki Unkee leela hai mangalkaran.

Kisee ek ya kuch virlon ko yeh kaaraj karna hoga shuru
Daro matt, protsaahan aur ashirwaad de rahein Hain hamaare Guru
Guruji kee kripa se baaki jann mein bhi aayegi jaagriti
Aur dheere dheere sanvarne lagegi jagg kee aakriti.

Ekta aur ekaagrataa mein bahut dumm hai
Lekin faayda nahin agar har jann apni β€˜mai’ mein gumm hai
Isliye har vikaar se muh moad kar
Har buri aadat ko chod kar
Jutt jaao jagg ke sudhaar mein
Kyunki anand basaa hai uddhaar mein.

Charitra ka dhan laut aayega
Imaan ka ratna laut aayega
Swabhaav mein ruhaaniyat muskuraayegi
Bhaav mein insaaniyat buss jaayegi.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Jagg Kee Aakriti (10/12/2021)

Leave a comment