Raahi Dooba Guruji Kee Bhakti Ke Saagar Mein (10/17/2021)

October 17, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1337

Raahi Dooba Guruji Kee Bhakti Ke Saagar Mein

Jabb se raahi dooba
Guruji kee bhakti ke saagar mein
Tabb se Unke naam ka amrit bharne lagaa doobi hui mann kee gaagar mein
Tabb se shuru hua raahi ka tarna
Aur bilkul chod diya usne darna.

Sukoon-e-aalam aisa chhaaya
Ki chaahe uske saath na bhi hota thaa uska saaya
Usne Guruji ko sadaa angg sangg paaya
Aur Unhonei har pal saath nibhaaya.

Thaame huey raahi ka haath
Guruji baney uske naath
Sikhaaya usey Guruji ne karna leheron ka saamna
Shareer aur anta-karan kee mayyl ke saath saath dhulti rahi uskee har bhautik kaamna.

Saagar kee vadiyaayee se milee raahi ko aisee tripti
Ki veh banee kaam bhaav chhootne kee yukti
Isliye na lobh raha, na krodh reh gaya
Ye sab leheron ke sangg kaheen duur beh gaya.

Jaise jaise archanon ke patharon se lehrein takraayin
Uska ahankaar chuur chuur hua
Har leher usey choom kar phir chali gayi chod kar
Ye sehte sehte uska moh bhi duur hua.

Is se vairaagya ka honei lagaa ehsaas
Is ehsaas ka asar hua khaas
Kyunki bhakti mein aaya ek anokha ullaas
Aur usey Guruji par ho gaya poorna vishwaas.

Har manovikaar gaya mitt
Shuddh ho gaya uska chitt
Saagar mein doobne se hua uska hitt
Jeevan kee kshanbhangurta ka satya hua uske mann mein sthit.

Bhakti ke saagar kee leheron mein
Badhti gayi shraddha kee oorja
Is oorja ka spandan hua itna divya
Ki nikharti gayee uskee kee hui pooja.

Gyan ka amrit thaa lehron ka paani
Jiske paan se veh nahin raha pehle kee tareh agyaani
Vidya se prakaashit ho gaya uska antar-mann
Aur avidya ka raaj hameshaan ke liye hua khatm.

Aseem thi saagar kee gehraayee lekin uskee neeyat thi nek
Isliye Guruji kee mehar se uss gehraayee mein doob kar usne Unke charnon mein liya maatha tek
Samaa gaya veh Guruji kee divyataa ke prakash mein
Is prakash ka prabal prabhaav chhaa gaya akash mein
Bhakt ka MahaShiv Guruji se yeh milan thaa madhur aur pyaara
Aur Om kee divya dhvani se goonj uthaa prakriti ka noorani nazaara.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Raahi Dooba Guruji Kee Bhakti Ke Saagar Mein (10/17/2021)

Leave a comment