October 19, 2021
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1339
Is Zindagi Kee Kaaya
Is zindagi kee yahee hai kaaya
Kaheen dhoop hai toh kaheen chhaaya
Jo lagta hai apna veh bhi hai paraaya
Aaj takk is zindagi ka raaz na samajh aaya.
Kabhi khud se chhota ho jaata hai khud ka saaya
Kabhi saaya lamba hota hua bhi nazar hai aaya
Lajawaab hai vaigyaanik vikaas kee bhi maya
Phir bhi yeh kabhi asal gyan se na jeet paaya.
Veh gyan jo chetna kee oar le jaata hai
Veh gyan jo atma kee unnati karaata hai
Veh gyan jo Ishwar ko rijhaana sikhaata hai
Veh gyan jo adhyaatmik kehlaata hai.
Guruji ke naam ke simran se ho paayega dhyan
Dhyan kee gehraayee mein praapt hoga veh gyan
Yeh mumkin ho sakta hai kewal Guruji kee mehar se
Yahee dhyan bachaa sakta hai hamein agyaanta ke zeher se.
Agyaanta ka zaalim zeher
Uday nahin honei de raha hai gyan kee sehar
Varna is vaigyanik vriddhi wala kalyuga
Kyun de raha hai maanav ko itne dukh?
Yeh dukh parinaam hai soyi hui chetna ka
Yeh dukh nateeja hai khoyi hui prerna ka
Veh chetna jo jaagriti laayegi hamaari insaaniyat ke dharam mein
Veh prerna jo hamaare sangg rahegi hamaare har karam mein.
Isliye nikalna hoga hamein agyaanta ke timir se
Vaakif hona hoga adhyaatmik gyan ke shivir se
Uss shivir mein vaas kar ke Guruji kee prerna se
Har kaam karna hoga Guruji ke dhyan se milee chetna se.
Apni oar se nek neeyat aur sachchaa bhaav hai zaroori
Guruji ke sangg rehne se mitt jaayegi har majboori
Anubhav ka nazariya badal jaayega
Aur jeene ka dhangg sanvar jaayega.
Zindagi kee yeh kashmakash se bhari kaaya
Yeh naatak jiska saar hai maya
Yeh jaal hai jis se vahee kismat wala nikal paayega
Jo Guruji ke dhyan mein gyan paakar usspar amal kar paayega.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja