October 21, 2021
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1341
Kaartik Maas
Beet gaye teen maheene chaturmaas ke
Pyaare Guruji kee mahima aur mehar se
Aur Guruji kee hee aseem kripa se
Mulaakaat hui hai Kaartik maas kee sehar se.
Bahut hee shubh aur shuddh hai yeh maas
Guruji ke anugreha ka dilaata hai ehsaas
Shaastron mein vedon ko mila hai sarvottam sammaan
Aur nadiyon mein Ganga hai sabse mahaan
Yugon mein Satyuga ke jaisi vadiyaayee
Kaartik maas ne uttamtaa mein hai paayi.
Kaha jaata hai ki is maheene mein
Maa Laxmi aur Vishnuji ka kiya vandan
Bahut anugrihit karta hai bhakton ko
Aur sakaratmak banaata hai ghar ka spandan.
Kaartik maas ko Purshottam maas ka bhi mila hai naam
Kyunki Vishnuji ke sangg Shivji ko kiya jaata hai pranaam
Dono ek saath is maheene mein ashirwaad Hain dete
Aur dono kee kripa ka prasad bhakt jann hain lete.
Kitne shubh divas hain aate is maas mein
Sabhi rehte hain Bhagwaan ko khush karne ke prayaas mein
Karva chauth Ahoi Ashtami Ram Ekadashi
Dhanteras Diwali Bhai Dooj aur Roop Chaturdashi
Kansa vadh Tulsi Maa ka vivaah
Devuthna Ekadashi aur kitne gharon mein shadi byaah.
Is maas mein daan ka bhi itna mahatva hai
Aur Guruji kehte Hain gupt daan karna hamaara kartavya hai
Tulsi daan ann ka daan karte hain bhakt jann
Gaay daan aur aanvle ke paudhe ka bhi daan karke shaant hota hai mann.
Hum toh itne khushakismat hain ki milee hai hamein Guruji kee sharan
Guruji kee sharan mein har din shubh hai kyunki Ve Hain sankat haran aur mangal karan
Guruji mein samaaye Hain Brahma, Vishnu, Mahesh
Isliye Shivji aur Vishnu ji kee pooja se mitt jaate hain kasht klesh.
Na maano toh kuch nahin aur jo maano toh hai sab mein Rabb
Yeh aaj bhi satya hai aur yeh hee satya thaa tabb
Guruji kee mahima toh hai aparampaar aur anant
Jis bhi roop mein hum dekhein, Guruji Hain Param Parmeshwar Bhagwant.
Aayiye, karte huey hum Guruji ka dhanyawaad
Kaartik maas mein bhi paayein Guruji ka ashirwaad
Guruji, kripa keejiye ki hum jaagrit ho paayein
Aapke simran aur dhyan se chetna ko jagaayein.
Aapka bahut bahut Shukrana hai Guruji
Ki Aap hamein yahaan takk lekar aaye Hain
Aapke charnon mein jageh paakar
Hum phoole nahin samaaye hain.
Kalyuga mein aaya hai jo Kaartik maas
Ismein hum satyugi vyavhaar ka karein prayaas
Hamaari neeyat nek rahe, aur dridh ho hamaara abhyaas
Taaki yeh Kaartik maas bann jaaye sab ke liye ek yaadgaar khaas.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja