Guru Ram Das Ji Ka Prakash Purab (10/22/2021)

October 22, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»# 1342

Guru Ram Das Ji Ka Prakash Purab

1534 mein Sitambar 24 kee thi jo taareekh
Uss shubh din par aur bhi sanvar gaya maanav jaati ka naseeb
Kyunki Bhai Jetha ji ka hua janam
Jinke sabb karam sikhaate hain insaaniyat ka dharam.

Lahore mein rehne waale in baalak ne
Chhoti si aayu mein apne mata pita ko kho diya
Aur niyati ne Unhe saump diya Unkee naani ko
Jinhonei Unka pyaar se paalan poshan kiya.

Laukik dhan na thaa parivaar ke paas
Lekin bharpoor thaa hriday mein sanskaaron ka vaas
Bhai Jetha ji ne chane bech kar madad kee naani kee
Bin shikaayat Ve Shukrana karte rahe Oopar wale kee meharbaani kee.

Baarah varsh kee umr mein Ve apni naani ke saath
Aaye Goindval, jahaan milee Unhe sabse uttam saugat
Guru Amar Das ji ke praapt huey Unko darshan
Aur tarr gaye Ve usee kshan.

Beas nadi ke kinaare par Goindval ka agrasar hua nirmaan
Bhai Jetha ji ne jee jaan se mehnat kee bin kiye aaraam
Baoli, rasoi, seedhiyaan- sab mein hai Unke parishram ka ashirwaad
Dhanya hota hai veh bhakt jo paata hai Goindval Gurudwaare ka prasad.

Yaheen par Basurke aur Baba Budha ji se judi jeevani Guru Ram Das ji kee
Yeh paawan naam Bhai Jetha ke liye daat thi Guru Amar Das ji kee
Guru Ram Das ji kee kripa se Amritsar ka hua nirmaan
Bibi Bhani se vivaah ke baad hui Unkee teen santaan.

Anukampa aur neevenpann kee moorat
Guru Ram Das ji ne samjhaayee kirtan kee zaroorat
Guru Granth Sahib ji mein bhi samaayee hai Unkee bani
Aur Gurbani ne sanvaari hai anginat sangat kee zindagaani.

Guruji bhi Gurbani sunn-ne ke liye kehte Hain
Gurbani mein jo amrit ke ratna behte hain
Unse hota hai atma ka pavitrikaran
Aur shuddh honei lagta hai anta-karan.

Guru Ram Das ke Prakash Purab par
Kyun na karein Guruji se yeh vaada
Ki Unke kahe anusaar jeevan ko hum rakhenge
Saral taral nirmal aur saada.

Shukrana Guruji ka Jinhonei kalyaan ka diya hum sabko vardaan
Guru kee sharan mein bhakton ko mil jaate hain Bhagwaan
Uthaa kar bhakt janon ke karmon ka adhiktar bhaar
Saari sarbat ka uddhaar karte Hain Ve Nirankaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guru Ram Das Ji Ka Prakash Purab (10/22/2021)

Leave a comment