Kaartik Maas (10/21/2021)

October 21, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1341

                    Kaartik Maas

Beet gaye teen maheene chaturmaas ke
Pyaare Guruji kee mahima aur mehar se
Aur Guruji kee hee aseem kripa se
Mulaakaat hui hai Kaartik maas kee sehar se.

Bahut hee shubh aur shuddh hai yeh maas
Guruji ke anugreha ka dilaata hai ehsaas
Shaastron mein vedon ko mila hai sarvottam sammaan
Aur nadiyon mein Ganga hai sabse mahaan
Yugon mein Satyuga ke jaisi vadiyaayee
Kaartik maas ne uttamtaa mein hai paayi.

Kaha jaata hai ki is maheene mein
Maa Laxmi aur Vishnuji ka kiya vandan
Bahut anugrihit karta hai bhakton ko
Aur sakaratmak banaata hai ghar ka spandan.

Kaartik maas ko Purshottam maas ka bhi mila hai naam
Kyunki Vishnuji ke sangg Shivji ko kiya jaata hai pranaam
Dono ek saath is maheene mein ashirwaad Hain dete
Aur dono kee kripa ka prasad bhakt jann hain lete.

Kitne shubh divas hain aate is maas mein
Sabhi rehte hain Bhagwaan ko khush karne ke prayaas mein
Karva chauth Ahoi Ashtami Ram Ekadashi
Dhanteras Diwali Bhai Dooj aur Roop Chaturdashi
Kansa vadh Tulsi Maa ka vivaah
Devuthna Ekadashi aur kitne gharon mein shadi byaah.

Is maas mein daan ka bhi itna mahatva hai
Aur Guruji kehte Hain gupt daan karna hamaara kartavya hai
Tulsi daan ann ka daan karte hain bhakt jann
Gaay daan aur aanvle ke paudhe ka bhi daan karke shaant hota hai mann.

Hum toh itne khushakismat hain ki milee hai hamein Guruji kee sharan
Guruji kee sharan mein har din shubh hai kyunki Ve Hain sankat haran aur mangal karan
Guruji mein samaaye Hain Brahma, Vishnu, Mahesh
Isliye Shivji aur Vishnu ji kee pooja se mitt jaate hain kasht klesh.

Na maano toh kuch nahin aur jo maano toh hai sab mein Rabb
Yeh aaj bhi satya hai aur yeh hee satya thaa tabb
Guruji kee mahima toh hai aparampaar aur anant
Jis bhi roop mein hum dekhein, Guruji Hain Param Parmeshwar Bhagwant.

Aayiye, karte huey hum Guruji ka dhanyawaad
Kaartik maas mein bhi paayein Guruji ka ashirwaad
Guruji, kripa keejiye ki hum jaagrit ho paayein
Aapke simran aur dhyan se chetna ko jagaayein.

Aapka bahut bahut Shukrana hai Guruji
Ki Aap hamein yahaan takk lekar aaye Hain
Aapke charnon mein jageh paakar
Hum phoole nahin samaaye hain.

Kalyuga mein aaya hai jo Kaartik maas
Ismein hum satyugi vyavhaar ka karein prayaas
Hamaari neeyat nek rahe, aur dridh ho hamaara abhyaas
Taaki yeh Kaartik maas bann jaaye sab ke liye ek yaadgaar khaas.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Kaartik Maas (10/21/2021)

Jannat Ka Mukaam (10/20/2021)

October 20, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1340

               Jannat Ka Mukaam

Guruji de rahe Hain hum bhakton ko paigaam
Ki hum simar lein Unka pavitra naam
Kalyuga mein isee naam se hai hamaara kalyaan
Guruji ke naam simran se paa lein hum dhyan ka vardaan.

Agar maan na kiya Guruji ke paigaam ka
Ki simran karna hai humne Unke naam ka
Toh kaise aayega veh pal dhyan ka
Jismein prakash hoga asal gyan ka?

Is paigaam mein punya hai
Yeh paigaam dhanya hai
Paawan hai yeh paigaam
Yeh le jaayega hamein Shiv dhaam.

Simran mein hai veh ashirwaad
Jo bhakton ko rakhta hai aabaad
Is se nikharta hai Guruji ke prati prem ka jazbaat
Aur har kshan milta hai Guruji ka salona saath.

Aur kuch bhi nahin hai is saath se pyaara
Is saath se antar-mann mein dikhe jannat ka nazaara
Baahari nazaare toh vaise hee hain maya
Jo inmein phansaa usne kiya apna samay zaaya.

Isliye sunkar Guruji ke paigaam
Usey maan lene mein hai hamaara kalyaan
Jitna ho sakey simar lein hum Guruji ka naam
Aur dharti par paa lein jannat ka mukaam.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Jannat Ka Mukaam (10/20/2021)

Is Zindagi Kee Kaaya (10/19/2021)

October 19, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1339

              Is Zindagi Kee Kaaya

Is zindagi kee yahee hai kaaya
Kaheen dhoop hai toh kaheen chhaaya
Jo lagta hai apna veh bhi hai paraaya
Aaj takk is zindagi ka raaz na samajh aaya.

Kabhi khud se chhota ho jaata hai khud ka saaya
Kabhi saaya lamba hota hua bhi nazar hai aaya
Lajawaab hai vaigyaanik vikaas kee bhi maya
Phir bhi yeh kabhi asal gyan se na jeet paaya.

Veh gyan jo chetna kee oar le jaata hai
Veh gyan jo atma kee unnati karaata hai
Veh gyan jo Ishwar ko rijhaana sikhaata hai
Veh gyan jo adhyaatmik kehlaata hai.

Guruji ke naam ke simran se ho paayega dhyan
Dhyan kee gehraayee mein praapt hoga veh gyan
Yeh mumkin ho sakta hai kewal Guruji kee mehar se
Yahee dhyan bachaa sakta hai hamein agyaanta ke zeher se.

Agyaanta ka zaalim zeher
Uday nahin honei de raha hai gyan kee sehar
Varna is vaigyanik vriddhi wala kalyuga
Kyun de raha hai maanav ko itne dukh?

Yeh dukh parinaam hai soyi hui chetna ka
Yeh dukh nateeja hai khoyi hui prerna ka
Veh chetna jo jaagriti laayegi hamaari insaaniyat ke dharam mein
Veh prerna jo hamaare sangg rahegi hamaare har karam mein.

Isliye nikalna hoga hamein agyaanta ke timir se
Vaakif hona hoga adhyaatmik gyan ke shivir se
Uss shivir mein vaas kar ke Guruji kee prerna se
Har kaam karna hoga Guruji ke dhyan se milee chetna se.

Apni oar se nek neeyat aur sachchaa bhaav hai zaroori
Guruji ke sangg rehne se mitt jaayegi har majboori
Anubhav ka nazariya badal jaayega
Aur jeene ka dhangg sanvar jaayega.

Zindagi kee yeh kashmakash se bhari kaaya
Yeh naatak jiska saar hai maya
Yeh jaal hai jis se vahee kismat wala nikal paayega
Jo Guruji ke dhyan mein gyan paakar usspar amal kar paayega.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Is Zindagi Kee Kaaya (10/19/2021)

Mann Ka Vyaakul Vihangam (10/18/2021)

October 18, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1338

             Mann Ka Vyaakul Vihangam

Jabb pareshaani itna sataaye
Ki simran mein dhyan hee na dharaa jaaye
Jabb mann ka vyaakul vihangam
Ghaayal pankh se udd ke girey aur maraa jaaye
Toh haal bura ho jaata hai
Aur koi upaay nahin nazar aata hai.

Yeh mann toh hai kaanch ka khilauna
Yeh yaad rakhna aur udaas na hona
Ho sakta hai aa jaaye tumhe rona
Lekin tum bilkul bhi dheeraj na khona.

Kaanch ko tootne mein lagti nahin hai der
Naazuk mann seh nahin sakta niyati ka her pher
Guruji hee kar sakte Hain aise mann ka ilaaj
Ve Hain maarg darshak aur Hain vaidyon ke Sartaaj.

Bahut himmat dete Hain Guruji
Dete Hain sehenshakti khoob
Unkee sharan mein ho jo insaan
Uske mann kee komalta sthirta mein jaati hai doob.

Jabb sthirta komalta ko apne mein leti hai samaa
Toh veh apna daaman bhakt ko deti hai thamaa
Sthirta ke is daaman ko thaam kar nikharti hai bhakt kee bhakti
Mann kee kaabiliyat mein aati hai ek adbhut shakti.

Dukh aur kasht sehne kee badh jaati hai kshamtaa
Aur mann mein ghar banaa leti hai samtaa
Yeh samtaa hoti hai badi sukhdaayee
Iskee praapti se sataana chod deti hai tanhaayee.

Har moad par, har raaste par chalna ho jaata hai aasaan
Aur mann mein samtaa honei se lagne lagta hai Guruji ke simran mein dhyan
Jaise paanch bhoot tattvon mein sthirta hai akash kee
Vaisi hee mehar hoti hai bhakt ke mann par Guruji ke paawan sakaash kee.

Shuddh bhaav aur lagan se
Badhti jaati hai samtaa
Har haalaat ka saamna karne kee
Badhti jaati hai kshamtaa.

Mann ke vyaakul vihangam ke pankhon ka ghaav
Guruji kee mehar se bhar jaata hai
Samtaa se dhyan mein rehna hota hai safal
Aur samay ke saath saath mann ka vyaakul vihangam tarr jaata hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Mann Ka Vyaakul Vihangam (10/18/2021)

Raahi Dooba Guruji Kee Bhakti Ke Saagar Mein (10/17/2021)

October 17, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1337

Raahi Dooba Guruji Kee Bhakti Ke Saagar Mein

Jabb se raahi dooba
Guruji kee bhakti ke saagar mein
Tabb se Unke naam ka amrit bharne lagaa doobi hui mann kee gaagar mein
Tabb se shuru hua raahi ka tarna
Aur bilkul chod diya usne darna.

Sukoon-e-aalam aisa chhaaya
Ki chaahe uske saath na bhi hota thaa uska saaya
Usne Guruji ko sadaa angg sangg paaya
Aur Unhonei har pal saath nibhaaya.

Thaame huey raahi ka haath
Guruji baney uske naath
Sikhaaya usey Guruji ne karna leheron ka saamna
Shareer aur anta-karan kee mayyl ke saath saath dhulti rahi uskee har bhautik kaamna.

Saagar kee vadiyaayee se milee raahi ko aisee tripti
Ki veh banee kaam bhaav chhootne kee yukti
Isliye na lobh raha, na krodh reh gaya
Ye sab leheron ke sangg kaheen duur beh gaya.

Jaise jaise archanon ke patharon se lehrein takraayin
Uska ahankaar chuur chuur hua
Har leher usey choom kar phir chali gayi chod kar
Ye sehte sehte uska moh bhi duur hua.

Is se vairaagya ka honei lagaa ehsaas
Is ehsaas ka asar hua khaas
Kyunki bhakti mein aaya ek anokha ullaas
Aur usey Guruji par ho gaya poorna vishwaas.

Har manovikaar gaya mitt
Shuddh ho gaya uska chitt
Saagar mein doobne se hua uska hitt
Jeevan kee kshanbhangurta ka satya hua uske mann mein sthit.

Bhakti ke saagar kee leheron mein
Badhti gayi shraddha kee oorja
Is oorja ka spandan hua itna divya
Ki nikharti gayee uskee kee hui pooja.

Gyan ka amrit thaa lehron ka paani
Jiske paan se veh nahin raha pehle kee tareh agyaani
Vidya se prakaashit ho gaya uska antar-mann
Aur avidya ka raaj hameshaan ke liye hua khatm.

Aseem thi saagar kee gehraayee lekin uskee neeyat thi nek
Isliye Guruji kee mehar se uss gehraayee mein doob kar usne Unke charnon mein liya maatha tek
Samaa gaya veh Guruji kee divyataa ke prakash mein
Is prakash ka prabal prabhaav chhaa gaya akash mein
Bhakt ka MahaShiv Guruji se yeh milan thaa madhur aur pyaara
Aur Om kee divya dhvani se goonj uthaa prakriti ka noorani nazaara.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Raahi Dooba Guruji Kee Bhakti Ke Saagar Mein (10/17/2021)

Khayriyat Ka Paigaam (10/16/2021)

October 16, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1336

            Khayriyat Ka Paigaam

Guruji ka naam yakeenan hai khayriyat ka paigaam
Guruji ka Shukrana ki Unhonei diya bhakton ko Apna naam
Is kalyuga mein nahin hai is naam se behtar sugati ka intazaam
Guruji ke naam mein samaaya hai har teerath dham.

Har dukh dard kee dawaa hai Guruji ka naam
Na japaa isey toh na poochna ki kyun na mila aaraam
Aisee aushadhi na hai aur na kabhi hogi is sansaar mein
Jo poornatayaa safal hoti hai bhakton ke uddhaar mein.

Guruji ka naam lekar jis jisne Guruji ko hai pukaara
Guruji ka naam banaa hai uss bhakt ka atoot sahaara
Unke naam ke sangg na karna hai koi vehem, na koi karmakaand
Unka naam itna shaktishaali hai ki jhuk jaata hai sampoorna Brahmaand.

Guruji ke naam mein sukoon hai anokha
Guruji ka naam japne ke liye har pal hai ek mauka
Kisee bhi jageh, kisee bhi samay
Bin sankoch aur bina kisee sanshay
Mann mein basaakar poorna vishwaas
Sarv samarpan karne ka kar ke prayaas
Keh sakte hain bhakt Guruji se jo bhi kehna hai
Guru naam ka gehna pehne bhaav ko buss sachchaayee se behna hai.

Guruji ka naam hai bhakton kee suraksha ka aadhaar
Nishchay hee yeh le jaayega bhakton ko bhav saagar ke paar
Chaahe poore sansaar se padey muh modna
Guruji ka naam japna kabhi bhi na chodna
Guruji ke naam mein basaa hai sarvottam kalyaan
Kyunki Guruji ke naam mein swayam Hain MahaShiv Bhagwaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Khayriyat Ka Paigaam (10/16/2021)

Pyaare Guruji Sadaa Tere Sangg Hain (10/15/2021)

October 15, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1335

      Pyaare Guruji Sadaa Tere Sangg Hain

Kar le tu har chunauti ka swaagat
Pyaare Guruji sadaa tere sangg Hain
Karne de jisne karni hai bagaavat
Pyaare Guruji sadaa tere sangg Hain.

Chaahe duur lagey veh manzil jahaan milegi raahat
Yaad rakh, pyaare Guruji sadaa tere sangg Hain
Tu chalta chal jahaan le jaati hai saansaarik sudhaar kee aahat
Tere har kadam par pyaare Guruji sadaa tere sangg Hain.

Aane de aandhi aur tufaan ko
Unke baad mausam suhaana aayega
Tu dua deta chal saare jahaan ko
Tera jeevan misaal bann jaayega
Honei de jiske jo rangg hain
Kyunki Pyaare Guruji sadaa tere sangg Hain.

Yahaan takk laaye Hain Guruji
Toh aagey bhi lekar jaayenge
Gumm mein jo ashk bahe hain tere
Ve khushi ke moti bann kar saath nibhaayenge
Kyunki ve hee simran kee mala ke angg hain
Aur Pyaare Guruji sadaa tere sangg Hain.

Koi samajh na paaya tujhe toh kya hua
Toone apne sadbhaav se kitnon kee atma ko chhua
Guruji veh hisaab rakh rahe Hain aur rakhte jaayenge
Ve hee toh sabke agley janmon kee niyati banaayenge
Guruji ke toh anokhe dhangg hain
Aur pyaare Guruji sadaa tere sangg Hain.

Tu bann jaa maseeha satyuga ke prabhaat ka
Teri koshish se kabhi toh antt hoga kalyuga kee raat ka
Tere prayaas vyarth nahin jaayenge
Balki ve akash ko satyuga ke sooraj se sajaayenge
Tere prayaas kalyuga se dooshit saagar mein paawan tarang Hain
Aur is prayaas mein bhi pyaare Guruji sadaa tere sangg Hain.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Pyaare Guruji Sadaa Tere Sangg Hain (10/15/2021)

Guru Milan Ke Liye Dil Bekaraar (10/14/2021)

October 14, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1334

Guru Milan Ke Liye Dil Bekaraar

Na zamaane ka zikr
Na fizool kee fikr
Na rona dhona
Na niraash hona
Na maangne ka silsila
Na kapat kee kalaa
Buss, Guruji se saral pyaar
Aur Unse is pyaar ka izhaar.

Na koi dikhaawa
Na koi chadhaava
Na gidagidaana
Na hichkichaana
Na hairaani
Na pareshaani
Buss, sweekriti aur Shukrana
Har pal Guruji ka saath paana.

Na koi raag na koi dvesh
Na koi praant na koi desh
Na bichadne ka gumm
Na aankhein numm
Na sudh budh waqt kee raftaar kee
Na koi chinta is sansaar kee
Buss, ek anokha bhaav ruhaani
Aur ye jindri Guruji kee deewaani.

Na ahem
Na vehem
Na naadaani
Na kahaani
Na bheed ka shor
Na dekhna kaheen aur
Na khat na taar
Na akhbaar mein samaachaar
Buss ek meetha sa intazaar
Aur uss intazaar mein Guru milan ke liye dil bekaraar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guru Milan Ke Liye Dil Bekaraar (10/14/2021)

Khudaayee Kee Roshni (10/13/2021)

October 13, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1333

            Khudaayee Kee Roshni

Pyaare Guruji kee vadiyaayee
Is vadiyaayee kee gehraayee
Is gehraayee mein basee khudaayee
Is khudaayee kee roshni hai chhaayee.

Yeh roshni chhaayi hai har oar
Is roshni ne mitaaya hai andhera ghanghor
Tabhi se hui hai bhakton ke jeevan mein bhor
Kyunki Guruji ne thaami hai bhakton ke jeevan kee doar.

Kabb hai kasna is doar ko aur kabb deni hai dheel
Kis bhakt ko sikhaani hai dridhta aur kisey banaana hai sehensheel
Yeh Guruji hee jaanein
Kyunki Ve sabko pehchaanein.

Guruji kee khudaayee kee roshni se har pal
Bhakton ka raasta sadaa rehta hai ujjwal
Yahee roshni karti hai prakaashit bhakton ke antar-mann ko
Yahee roshni ullaasit karti hai chintan aur simran ko.

Simran gehra hota jaata hai jaise jaise
Dhyan lagtaa jaata hai vaise vaise
Dhyan mein hee basaa hai Shivoham ka raaz
Jo Guruji kee mehar se khul jaata hai bin kiye awaaz.

Is khaamoshi mein jo sukoon hai
Uska honei lagta junoon hai
Uss junoon mein beet jaaye agar zindagi
Toh safalta se alankrit ho jaaye bandagi.

Isliye Guruji kee vadiyaayee kee gehraayee mein basee hui khudaayee kee roshni ka
Karein hum har pal aadar satkaar
Isee paawan aur divya roshni se sajaa hai
Hum bhakton ka ghar sansaar.

Kalyaan kee varsha jo hum bhakton par barasti jaa rahi hai
Veh gavaah hai har uss kahaani kee jo waqt kee taakat ne kahi hai
Yeh gavaahi sach na ho, yeh mumkin nahin
Kyunki is gavaahi mein Guruji kee mehar hai bahi.

Waakif rehna zaroori hai waqt kee taakat se
Jo riha karaayegi hamein zindagi kee adaalat se
Yeh roshni bhakton ke naseeb mein hai sirf aur sirf Guruji kee vakaalat se
Anivaarya hai is roshni kee har kiran ka sammaan karna nazaakat se.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Khudaayee Kee Roshni (10/13/2021)

Jagg Kee Aakriti (10/12/2021)

October 12, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1332

                  Jagg Kee Aakriti

Bahut zaroorat hai duniya ko achchi soch wale insaanon kee
Kyunki kalyuga mein badhauti ho rahi hai nukasanon kee
Nuksaan charitra ke dhan ka
Nuksaan imaan ke ratna ka.

Maanav ka ho gaya hai asur bhaav
Vikaaron ke vish se dooshit hua hai svabhaav
Aisa nahin ki sadaachaari nahin hai mil paati
Lekin veh Id ke chaand se bhi kumm hai nazar aati.

Aisa kyun hua, isee soch mein abb aur samay na ganvaao
Jadtaa kee neend se jaago, aur doosaron ko bhi jagaao
Gyan ka shastra bahut paawan hai, is shastra se agyanta ko mitaao
Aur apni oar se cheshta karke is jagg ke kaam aao.

Kuch uljhaa hua nahin karna hai
Buss, sachchaayee se nahin darna hai
Satya ka saath dekar bann-na hai satyataa ka ek nek udaaharan
Baaki Guruji par chodna hai kyunki Unkee leela hai mangalkaran.

Kisee ek ya kuch virlon ko yeh kaaraj karna hoga shuru
Daro matt, protsaahan aur ashirwaad de rahein Hain hamaare Guru
Guruji kee kripa se baaki jann mein bhi aayegi jaagriti
Aur dheere dheere sanvarne lagegi jagg kee aakriti.

Ekta aur ekaagrataa mein bahut dumm hai
Lekin faayda nahin agar har jann apni ‘mai’ mein gumm hai
Isliye har vikaar se muh moad kar
Har buri aadat ko chod kar
Jutt jaao jagg ke sudhaar mein
Kyunki anand basaa hai uddhaar mein.

Charitra ka dhan laut aayega
Imaan ka ratna laut aayega
Swabhaav mein ruhaaniyat muskuraayegi
Bhaav mein insaaniyat buss jaayegi.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Jagg Kee Aakriti (10/12/2021)