November 9, 2021
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1360
Sukh Chayyn Har Janam Ka
Aglaa pal takk toh tere vash mein nahin
Toh kyun saamaan jodta jaa raha hai
Tera lakshya thaa is chanchal mann ko daas banaana
Tu uss lakshya se muh kyun modta jaa raha hai?
Pichhle janmon ke karmon aur paap ka bojh liye tu phirta hai
Phir bhi aane waale kal ke parinaam se nahin darta hai
Isliye toh bojh bhaari kiye jaa raha hai
Aur jhootha sukh tu paa raha hai.
Bheetar se kuch aur baahar se kuch aur hona, ye hai kiskee dee hui naseehat?
Apne sukh ke liye doojon ko dukh dena hai kahaan kee insaaniyat?
Vikaaron se bhare jeevan mein kaise basegi ruhaaniyat?
Kyun tere jeevan mein hai shaan-o-shaukat kee itnee ahmiyat ?
Kehta hai tu, ki laalach nahin hai theek
Lekin tera bhautikvaad toh hai laalach ka prateek
Kehta hai tu ki anaasakti hai zaroori
Lekin, tu padaarthon ke parde ke peechhe paal raha hai majboori.
Isee aasakti aur majboori ka rehta hai tujhe chintan
Toh kab aur kaise karega tu dhyan aur vandan?
Jiska chintan hoga tujhe poori umr, usee ke baare mein tu sochega apne jeevan ke antim kshan mein
Isliye tu khud hee soch tera agla janam kaisa hoga, agar tera dhyan rahega bhautik padaarthon ke dhan mein.
Guruji kahein, βAish Karβ lekin iska arth yeh nahin ki badhaa le apni bhautikvaad mein aasakti
Yaad rakh, anaasakti hai adhyaatmik azaadi kee yukti
Isee se badhega tera atma-bal
Aur tera Guruji se judna hoga safal.
Abb bhi samay hai, aasakti kar le Guruji ke naam mein
Taaki tere chintan ka kendra ho Bhagwaan mein
Taaki jabb tera shareer pahunche shamshaan mein
Toh teri atma pahunch jaaye sachkhand ke dhaam mein.
Yahee yaad rakhne yogya hai, aur kuch bhi nahin
Apne mann ko apna daas banaa le, taaki veh maane baat teri kahi
Jiska chintan tu karega, tujhe praapt hoga vahee
Isliye isee pal se kar le apni aasakti kee disha sahi.
Isee mein hai tera sukh chayyn har janam ka
Isee mein bhugtaan hai tere har karam ka
Yahee raasta hai dharam kaa
Yahee uddeshya hai tere jeevan ka.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja