November 19, 2021
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1370
Kartik Poornima
Kartik maas kee poornima hai aayi
Tabhi yeh tithi Kartik Poornima hai kehlaayee
Dev Deepawali aur Tripurari Poornima bhi isey hain kehte bhakt jann
Tripurantak Tripurari Shivji ko hai ye tyohaar arpan.
Taarakaasur ke putron ko diya Shivji ne mrityu daan
Aur poora kiya Devon ka nirbhay honei ka armaan
Devon ne diyon aur prakash se manaaya vijay ka yeh vaar
Aur tabb se yeh kehlaaya Dev Deepawali ka tyohaar.
Tulsi maa, jo Vrinda huin, Unka vivah hua Vishnuji ke saath
Aur Kartikeya ka praadurbhaav hua Kartik Poornima wali raat
Vishnuji ke Matsya avatar ka bhi hua janam
Aur Krishnaji ne Radha ke sangg ras leela kar phir kiya Unka vandan.
Prabodhini Ekadashi ke saath hai Kartik Poornima ka sambandh
Chaturmaas ka isee din par hota hai antt
Vishnuji yoganidra ko tyaag dete Hain
Aur Vaikunth mein phir Apna sthaan lete Hain.
Shubh sandesh laata hai Kartik Poornima ka tyohaar
Guru Nanak Dev ji ka Prakash Purab bhi hai yeh vaar
Guru Nanak ji Hain taaranhaar, Ve hee Hain nirankaar
Unkee mahima hai aparampaar.
Itne saare divya tyohaar is ek vaar ko hain nikhaarte
Kartik Poornima ke din bhakt khushiyaan hain manaate
Hamaare Maha Shiv Guruji bhi Om aur Ek Onkar ka mahatva Hain samjhaate
Aur jis bhi roop mein ya naam se bhakt Unhe poojein
Ve sabki praarthna ko Hain sunn paate.
Guruji kahein ki ujjwal aur shubh hai har sitaara
Jo bhi Unkee sharan mein aaya, Unhonei usey hai taara
Guruon ka ashirwaad hota hai itna pyaara
Ki antarmann takk saaf kar deta hai hamaara.
Saari sangat ko shubhkaamnaayein is mubarak tyohaar kee
Aayiye sabhi pooja karein Parwardigaar kee
Dua karein ki mitt jaaye vipatti is sansaar kee
Aur bhalaayee ho har jann ke ghar-parivaar kee.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja