November 23, 2021
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1374
Khata
Aye dil, abb aur na sataa
Aye dil, tu hee bataa
Kyun zindagi jeete jeete
Aksar ho jaati hai tujhse khata?
Jagg se jud jaane kee khata
Jagg ke logon se jud jaane kee khata
Behte paani mein maree hui machhlee bhanti behne kee khata
Jhooth aur anyaay ko sehne kee khata.
Mann ka das bann jaane kee khata
Insaaniyat nibhaane kee zimmedaari ko na nibhaane kee khata
Aye dil, tujhe toh hai pataa
Ki Guruji se chhipi nahin hai teri koi bhi khata.
Khata yeh soch lene ki, ki sadaa rehna hai yahaan
Khata yeh soch lene kee, ki ek din samajh lega tujhe yeh jahaan
Ye khata hee toh hai, kyunki ye jahaan toh maya hai
Yeh bhi khata hai ki samajh leta hai tu usey apna, jo darasal paraaya hai.
Phir bhi tu kar leta hai khata
Aur oopar se Guruji ke saamne leta hai jataa
Ki tu Unhe deta hai bataa
Toone kee hoti hai jo bhi khata.
Unka Shukrana karna bhool jaane kee khata
Unhe samarpan na kar paane kee khata
Unka simran karna bhool jaane kee khata
Unke vachan par na chal paane kee khata.
Aye mere dil, zaraa ye toh bataa
Kab takk karta rahega tu khata par khata
Buss, aur na apne aap ko sataa
Apne kalyaan par abb apna hak jataa.
Kar le simran, kar le sewa
Aur kar le Guruji ka satsang
Duniya waalon ka chod ke peechhaa
Apna le Guruji ke bataaye dhangg.
Saralta aur taralta laa jeevan mein
Simran aur dhyan se sthirta laa apne mann mein
Gupt sewa aur daan se badhauti kar apne asal dhan mein
Apna farz nibhaata chal rehte huey Guruji ke chintan mein.
Guruji teri neeyat aur lagan dekhkar tere raaste kee har baadha ko denge hataa
Taaki tere karmon ke vriksh mein komal shuddhi se saj jaaye har lata
Taaki bhavishya mein tere mann ko khata karne se pehle hee lagg jaaye pataa
Aur phir tera mann na karey khata karne kee khata.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja