December 4, 2021
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1385
Aur Der Na Karo
Chitt se jaagrit honei ko bol do
Anta-karan ke chakshu khol do
Rona bhi aaye toh ro lo
Lekin abb apne paapon ko dh lo.
Abb na inhe dhoya toh ye badhte jaayenge
Tumhaare mann mein basey devta se ye ladte jaayenge
Ye mann mein basey daanav ko dost banaayenge
Aur mann ko galat raaste par aagey badhaayenge.
Maanav ke mann mein daanav ho
Yeh toh uchit nahin hai
Isliye mann ko maanavta ke path par laana
Yahee upaay sahi hai.
Guruji ko tum yaad karo
Unhee se hee fariyaad karo
Mann ko Unkee maujoodagi se aabaad karo
Aur mann ko vikaaron aur paapon ke paash se azad karo.
Jaise jaise mann karega Gurbani ka simran
Vaise vaise hota chalega bheetari pavitrikaran
Jaise jaise simran se jaaoge dhyan mein
Guruji kee mehar se badhauti hogi gyan mein.
Gyan vo, jo chetna kee oar le jaayega
Gyan vo, jo tumhe tarne mein madad kar paayega
Guruji ka ashirwaad har kadam par tumhe sudhaarega
Aur tumhaare aane waale janmon kee bhi kismat sanvaarega.
Kyunki Guruji ka saath hai anant
Ve tumhare har janam mein hongei Bhagwant
Unkee kripa se ek din tumhaare karmon ka ho jaayega poora bhugtaan
Aur mukti kee manzil par pahunch kar mukammal hogi tumhaare janam-maran kee dastaan.
Is shubh kaam ke liye parishram karna aaj hee kar lo shuru
Tumhaari poorna sahaayata karne ke liye tumhaare sangg Hain tumhaare Guru
Aaj rona aa raha hai toh koi baat nahin, kyunki kal tum muskuraa paaoge
Aur Guruji ke achche bachche bannkar Unke dikhaaye raaste par tum jaaoge.
Guruji kee sharan mein tumhaara basera hai
Vaheen par tumhaari intazaar karta hua savera hai
Na daro, balki taro
Abb is kaam mein aur der na karo.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja