December 19, 2021
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1400
Unkee Mehar Se Hee Safal
Sooraj se kaha mainey
Ki tu raasta dikhaata chal
Sooraj ne kaha mujh par yoon vishwaas na kar
Mai toh shaam hotey hee jaaoonga dhal.
Chaand se poochhne lagi hee thi
Chaand sharmaaya aur usne keh diya
Sooraj kee chamak ne mujhe har baar hai ojhal kiya
Meri toh kalaayein bhi kumm zyada hoti rehti hain
Ve waqt kee hukoomat ko sehti hain
Lekin, haan, Shivji ne kiya mera uddhaar
Mujhe diya Apne maathe pe rehne ka adhikaar.
Duur takk aasmaan mein mujhe dikhe jo taare
Mainey poochha unse ki kya mai chal sakti hoon unke sahaare
Taaron ne sambhaala apna aanchal
Aur kaha ki unhe kayee baar chhipa dete hain baadal.
Poochha mainey baadal se
Ki uskee disha kya hogi kal se
Toh keh diya usne ki veh hawaa se wafaa nibhaata hai
Aur tehelta hai jahaan usey hawaa ka jhonka le jaata hai.
Thakne lagi thi mai phir ehsaas hua ki hawaa hai mere aaspaas
Mainey hawaa se vahee prashn karne ka kiya prayaas
Hawaa ne toh mera prashn apne vaig se udaa diya
Aur usee vaig se mujhse apna daaman chudaa liya.
Lagaa mujhe ki sthir hai shaayad ye dharti
Aur ye sabka paalan hai karti
Lekin uske jawaab se bhi hui mujhe niraasha
Toh socha mainey ki shaayad aasmaan se milega dilaasa.
Lekin aasmaan ne kaha uska phailaav aur uska astitva hai uss se bhi oopar wale kee daat
Ki uska anusaran karke na milegi mujhe manzil kee saugat.
Kiske sahaare chaloon mai yahaan
Paraaya sa hai ye saara jahaan
Na ye dharti aur na ye aasmaan
Bataayein mujhe ki mai jaaoon kahaan.
Aankhein bandd kar ke pahunchi mann mandir mein
Guruji ka naam lekar Unhe yaad kiya mann hee mann mein
Jodi mainey Guruji se seedhi taar
Parwardigaar kee mehar hui aparampaar.
Tabhi aayi ek khushboo ruhaani
Jiske sangg hawaa chalne lagi suhaani
Dikha sooraj se bhi zyada roshan prakash
Poorna suraksha ka honei lagaa mujhe ehsaas.
Mann ke mandir mein hua Guruji ka shubh aagaman
Mainey bhaav vibhor hokar kiya Unka naman
Karuna aisee barasne lagi
Har uljhan sulajhne lagi
Guruji ne raasta dikhaaya
Aane waali baadhaaon ke baare mein bataaya
Unhe paar karne ka upaay bhi samjhaaya
Aur manzil milegi, ye yakeen dilaaya.
Har samasya ka samaadhaan hai Guruji ke paas
Har duvidha ko duur karta hai Guruji ka deedar-e-ehsaas
Unse bada koi maargdarshak nahin
Unke jaisa nipun koi rakshak nahin
Raasta bhi Guruji se hai, Unhee se hai safar
Manzil takk pahunchna bhi hoga Unkee mehar se hee safal.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja