Qayamat Bhi Aa Jaaye Toh (12/20/2021)

December 20, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»# 1401

       Qayamat Bhi Aa Jaaye Toh

Pyaare Guruji,

Suna thaa ki Aap sangat ka haath nahin chodte
Kabhi bhi apne bhakton se muh nahin modte
Aur dekha bhi hai is sundar satya ko
Jaana bhi hai is taarne wale tathya ko.

Phir bhi aaj ye ashru chaahein behna
Dil chaahe Aapse ye kehna
Ki kabhi na chodna mera haath, mere taaranhaar
Kabhi na thukraana mera saath, mere paalanhaar.

Jeevan ka bhavsaagar tarangi sa hai
Kalyuga ka charitra satrangi sa hai
Yahaan khoobsoorat mausam ke saath saath
Aksar karni padti hai aandhi aur tufaan se bhi baat.

Beech majdhaar mein bhanvar hai
Is baat kee bakhoobi khabar hai
Lekin zaroori hai jaana uss paar
Isliye minnatein karti hoon Aapse baar baar
Ki kripa kar subuddhi deejiye
Subuddhi ke sangg shuddhi deejiye.

Imtehaan beshak leejiye
Lekin safalta deejiye
Aisee safalta, jo Aapki raza mein ho
Aur mera har karam Aapse wafa mein ho.

Aayenge jaayenge ye duniyaadaari ke jhamele
Chalte rahenge is jeevan mein maya ke mele
Karmon ka hisaab jo chukaana hai
Yahee toh zindagi ka fasaana hai.

Mere jeevan kee raat ke chaand aur taare Hain Aap
Mere jeevan ke din ke sooraj roopi sahaare Hain Aap
Raat andheri honei par Aapki divya jyot hee chiraag hai
Aapne sweekaara hai mujhe, jabb ki na jaane meri atma par kaun kaunsa daag hai.

Aap sada angg sangg rehna, kyunki ye jhamele mai akele na jhel paaoon
Vo hunar nahin hai mujh mein jis se mai bheetar se kuch aur oopar se kuch aur dikhaaoon
Mujhe aisa hunar seekhna bhi nahin
Kyunki Aapki nazaron mein veh sahi nahin.

Aisee hee hoon mai, kya karoon
Aapka sahaara hai, isliye kabhi na daroon
Aapki dikhaayee raah par chalti jaaoon
Aapki mamta bhari goad mein palti jaaoon.

Aapke sambhaalne se sab kuch sanvar hai jaata
Aapke ashirwaad se jeevan sudhar hai jaata
Mera chitt sada Aapka Shukrana rahe gaata
Ye Shukrana apne sangg himmat kee daat hai laata.

Yoon hee sambhaale rakhna mujhe mere daata
Mera dil Aapse judey rehkar sukh hai paata
Is rishte ke sukh mein yoon masroof rahoon
Ki qayamat bhi aa jaaye toh mai uff takk na kahoon.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Qayamat Bhi Aa Jaaye Toh (12/20/2021)

Leave a comment