Na Kar Tu Gumaan (12/24/2021)

December 24, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1405

  Na Kar Tu Gumaan

Na kar tu gumaan
Tujhse kaheen zyada shaktishali hai ye aasmaan
Veh toh rok leta hai agar rokna chaahe koi tufaan
Teri koi aukaat hee nahin, na reh tu is tathya se anjaan.

Tu kathputali hai, teri doar chalaate Hain Bhagwaan
Tera har vichaar jaante Hain Guruji meharbaan
Tu hai tuchh, Ve Hain MahaShiv mahaan
Shukr kar ki Unhonei tujhe diya hai jeevan ka daan.

Kya hua agar tu hai mashhoor
Na kar is baat ka guroor
Sab mitti mein mil jaana hai
Jabb uss paar se bulaava aana hai.

Achcha hai agar tu hai dhanwaan
Lekin dhan daulat hain pal do pal ke mehmaan
Guruji ke naam ka dhan jod le
Vyarth ke jhamele chod de
Karta chal niswaarth sewa bin dhindhore peete
Hota chal Guruji ke kareeb jaise jaise samay beete.

Sewa aur simran ka dhan aayega kaam
Usee se milega moksh ka inaam
Agar moksh jald paane kee hai ichcha
Toh karna hoga jo atma ke liye hai achcha.

Sanskaar sudhaar le
Jeevan sanvaar le
Yaheen par karmon ka karz utaar le
Guruji ka naam baarambaar le.

Niswaarth bhakti ke ashru beshak ro le
Guruji ke ashish ke amrit se dho le
Vikaaron se maylii hui antakaran kee chaadar
Aur kar le Guruji ke har vachan ka aadar.

Guruji ke kahe anusaar banda bann
Nirantar prayaas se nirmal kar le mann
Antt vele kaam aayega buss yahee dhan
Ye na hua toh antt mein tu reh jaayega nirdhan.

Na rahega astitva, na rahega shareer
Naam kamaa kar nikhaar le apni taqdeer
Keh gaye hain bade bade santt aur peer
Ki Guru shehenshah Hain aur hum sab hain fakeer.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Na Kar Tu Gumaan (12/24/2021)

Leave a comment