December 28, 2021
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1409
Har Din
Har din ek chunauti sa hai
Har din ek ashirwaad bhi
Har din mein kuch anchaaha ho shaayad
Lekin har din hai prasad bhi.
Har din mein khwaab bante bhi hain
Aur toot-te ya sach hotey hain
Har din hum kuch paate bhi hain
Aur kabhi kabhi kuch kuch khotey hain.
Har din mauka hai vichaarne ka
Ki hamein chaahiye kya zindagi se
Paramatama se Unhee ko maang lein
Aur anand lein Unkee bandagi se.
Har din maang lein kshamaa
Har din bator lein samaa
Guruji se baatein karne ka
Mann ke asuron se ladne ka.
Har din badhaate chalein simran
Har din dhyan mein rahein magan
Har din sudhaarein apne karam
Har din sewa mein lagaayein lagan.
Har din atma-bal badhaayein
Har din Guruji ke gunn gaayein
Har din Guruji ke kareeb aayein
Har din Unhee ko samarpan karte jaayein.
Har din Guruji ke dum se hai
Guruji par poori tareh se nirbhar
Isliye har din ko maan ke avsar
Unhe Shukrana karein umr bhar.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja