Aapke Charnon Mein Hai Ardaas (12/31/2021)

December 31, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1412

Aapke Charnon Mein Hai Ardaas

Pyaare Guruji,

Aapke charnon mein hai ardaas
Poori kar deejiye ye aas
Karte rahiye sabhi ka bhalaa
Bakhshiye sabhi ko chardi kala.

Antim din hai aaj is saal ka
Ye saal gavaah hai sabke haal ka
Chaahe is saal par bhi thaa pehra Aapke naam kee dhaal ka
Phir bhi kayiyon ke mann mein yeh sawaal thaa
Ki kyun kitnon ne khoya hai apnon ko
Kyun thes pahunchi hai kitnon ke sapnon ko?

Ye bhi satya hai ki aisa honei ke saath saath
Kitnon ke liye khatm hui andheri raat
Kitnon ko mila jeevan daan
Aapki kripa se, pyaare karunanidhaan.

Jaana hai Aapki sharan mein rehkar
Maana hai is safar mein kaafi kuch seh kar
Ki zaroori hai hum sabke karmon ka katna
Buss, Aap angg sangg rehkar Apni kripa banaaye rakhna.

Barsaate rehna hamesha ke jaise Apni mehar
Jeevan mein chaahe gumm kee raat ho ya ho suhaani sehar
Hum Aapke prem mein rahein magan
Aap mein hee rahe hamaari lagan.

Jo bhi lekha hai hum sabki kismat ka
Vo bhi ichchuk hai Aapki rehmat ka
Aap hee likh sakte Hain usey dobara
Hamein buss hai Aapka hee sahaara.

Aur Aapka sahaara hai sabse uttam
Aap beshak parakhte rahiye hamaara iraada aur hamaara parishram
Kripa kar hum sabko galatiyon ke liye kar deejiye maaf
Hum sabke mann ko kar deejiye saaf
Sumat bakhshiye ki har insaan nibhaaye apna farz
Mehar keejiye, taaki utartaa jaaye hamaare pichhle saare karmon ka karz.

Aapke ashirwaad kee hoti rahe vrishti
Har vipatti se mukt hoti rahe ye srishti
Sadbhaav aur satkarma se sugandhit hota rahe spandan
Badhta chale Aapke naam ka simran aur Aapka vandan.

Jis tareh se Aap chaahein, pyaare karunanidhaan
Karein hum is tareh se sewa, satsang, paath, aur daan.
Aapse jodte rahein seedha naata
Na bhoolein ki Aap rakhte Hain hamaare karmon ka khaata.

Nirogi ho kaaya
Na jakad paaye hamein maya
Shukrana Aapka karte rahein
Jholi apni Aapke ashirwaad se bharte rahein
Aapki oar hee rahe dhyan
Chitt ko roshan karey gyan
Sukh kee ho bahaar
Sakaraatmakta se sajey sansaar
Kisee bhi raat ko bhookha na soye koi bhi praani
Chaahaton ke bajaaye zarooraton ko mahatva de praani.

Jaise jaise har din ka sooraj dhalta rahega
Dukh sukh ka chakravyuh toh chalta rahega
Aisee keejiye hum sab par rehmat
Ki Aap hamaare har vichaar se hon sehmat
Aapko khush rakhne se bada koi dharam nahin
Aap jisey kaat na sakein, aisa koi karam nahin.

Sabke liye ummeed aur ullaas laaye naya saal
Vishwa par se uth jaaye is mahaamaari ka jaal
Har tareh ke ahitkaari paash se hum azad hon jaayein
Aapki sharan mein chardi kala paayein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aapke Charnon Mein Hai Ardaas (12/31/2021)

Leave a comment