Hum Tayyaar Hon (02/28/2022)

February 28, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1471

                   Hum Tayyaar Hon

Simran mein baithein aur dhyan dharein
Swayam ko MahaShivratri ke liye tayyaar karein
Guruji kee mehar se karte chalein antarmann ka pavitrikaran
Ve antaryaami Hain, karte rahenge kasht aur dukh ka haran.

Har maheene hoti hai Shivratri aur Guruji kee mehar se chalta hai har pal simran
Lekin ye hai MahaShivratri, isliye karein aur bhi manan
Khaamoshi ho aaspaas aur mann mein
Taaki badhauti ho ruhaani dhan mein.

MahaShivratri ka tyohaar hai bahut hee mahatvapoorna
Aur adhyaatmik gyan hai tattvapoorna
Guruji kee kripa se milega veh gyan
Hamein apni oar se karna hai prayatna aur Unka dhyan.

Kyunki Ve MahaShiv ka roop Hain, Unse oopar koi bhi nahin
Jis bhi waqt hum Unka dhyan kar paayein, vahi waqt hai sahi
Unke simran aur dhyan se mann ke paatr kee mayyl hataayein
Jo bhi vikaar aur paap ke daag hain, unn daagon ko mitaayein
Guruji kehte Hain MahaShivratri par milta hai khaas ashirwaad
Unkee raza se hum tayyaar hon lene veh param paawan prasad.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Hum Tayyaar Hon (02/28/2022)

Guruji Kee Bakhshindagi Mein (02/27/2022)

February 27, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1470

      Guruji Kee Bakhshindagi Mein

Guzar rahi thi zindagi kuch is kadar
Ki kaun chala raha hai isey, veh oorja aati nahin thi nazar
Mai hoon kaun, kahaan se aayi hoon, na aata thaa samajh
Kayi baar aise sawaalon mein mai jaati thi ulajh.

Guruji toh dekh rahe thei, aur sab rahe thei jaan
Unhe hee thaa sahi waqt ka sahi anumaan
Unhe hai mere saare janmon kee saari pehchaan
Lekin mai tabb bhi thi aur aaj bhi hoon ek anjaan insaan.

Ye toh Unkee mahaanta hai ki Unhonei mujh jaisi ko sweekaara hai
Kitnee baar jeevan daan diya aur kitna Unhonei taara hai
Namumkin hai andaaza lagaana Unke kiye kalyaan ka
Kyunki kisee mein saamarthya nahin amrit ke mahasaagar kee boondon ke anumaan ka.

Aur phir ye toh hai MahaShiv ke amrit ka mahasaagar
Jo apni kee hui mehar ko kar deta hai ujaagar
Kitna sukoon mehsoos hota hai mann mandir ke bheetar jaakar
Jahaan Guruji kee mehar ke amrit se bharti aur tarti hai mann kee gaagar.

Jaise jaise karoon har naye din ka saamna
Guruji angg sangg rahein, yahee hai meri kaamna
Sukh chayyn paaoon saadagi mein
Bandhi rahoon Guruji kee bandagi mein
Guruji ke bharose chalti rahoon zindagi mein
Tarr jaaoon Guruji kee bakhshindagi mein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Kee Bakhshindagi Mein (02/27/2022)

Anupam Anantam Antaryaami (02/26/2022)

February 26, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1469

          Anupam Anantam Antaryaami

Guruji tere saath Hain
Guruji mere saath Hain
Ve hum sabke saath Hain
Ve hum sabke nath Hain.

Guruji divya ehsaas Hain
Unke vachan bahut khaas hain
Unke ashish se hee hamaare shwaas hain
Ve tere aur mere mann ka vishwaas Hain.

Guruji Hain jeene ka aadhaar
Guruji kee rehmatein hain beshumaar
Guruji Hain prem ke punj
Guruji Hain karuna ka kunj.

Guruji Hain MahaShiv kee moorat
Guruji kee har leela hai khoobsoorat
Guruji kee khushboo hai ruhaani
Guruji kee mehar se hai har meharbaani.

Guruji Hain mamta ka mahasaagar
Guruji se har hunar ho ujaagar
Guruji Hain har vehem se duur
Guruji ahankar karein chuur.

Guruji Hain sarvgyata
Guruji Hain akhandata
Guruji Hain daya ke daata
Guruji Hain vishwa ke vidhaata.

Guruji Hain chitt kee chetna
Guruji Hain paawan prerna
Guruji Hain samay ke swami
Guruji Hain anupam anantam antaryaami.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Anupam Anantam Antaryaami (02/26/2022)

Guruji, Kar Deejiye Aisee Mehar (02/25/2022)

February 25, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1468

       Guruji, Kar Deejiye Aisee Mehar

Guruji, kar deejiye aisee mehar
Antarmann mein rahe sehar
Chitt ho jaaye chaarul
Mann na rahe vyaakul.

Simran kee daat Aap dete rehna
Aa jaaye aparihaarya (inescapable) paristhiti ko sehna
Ekaagrachitt honei ka seekh jaayein hum hunar
Jis se vikarshan ke lamhe jaayein guzar.

Bakhshte rehna har gunah ke liye
Shukrana karvaate rehna har subah ke liye
Shukrana karein jeevan kee raat ka
Anusaran karte rahein Aapki kahi har baat ka
Kyunki jeevan kee raat aur Aapki har baat
Degi sunehre savere kee saugat.

Sewa ka bhaav jaagrit rahe mann mein
Bin kisee swaarth rahein Aapke manan mein
Vichaaron mein hoti rahe shuddhi
Soch aur aacharan mein aati rahe subuddhi.

Bin dikhaawe ke karein dhyan aur daan
Bann paayein changey insaan
Atma par kumm se kumm bojh ho jabb tyaagein praan
Taaki aane waale janmon ka safar ho thoda aasaan.

Hum na jaanein ki hamein lene hongei aur kitne janam
Kripa karna taaki har janam mein pehle se bhi achche hon hamaare karam
Aapse bakhshish maangte huey nibhaate rahein hum apna dharam
Aap mein shraddha rakh ke karte rahein Aapka anusaran.

Na bhoolein Aapka Shukrana karna ek bhi pal
Na bhoolein ki Aapki karuna se hee kasht jaate hain tal
Na bhoolein ki Aapke vash mein hai hamaara kal, aaj, aur kal
Na bhoolein ki jo ho raha hai aur hoga, veh apni karni ka hai aur hoga phal.

Abhimaan choot jaaye aur svaabhimaan rahe
Bhaav mein samvedansheelta vidyamaan rahe
Apni aukat kuch bhi nahin, sada yeh gyan rahe
Jabb takk is nashvar shareer mein praan rahe.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji, Kar Deejiye Aisee Mehar (02/25/2022)

Maun (02/24/2022)

February 24, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1467

                           Maun

Tu Hai Kaun
Yeh uttar dega maun
Maun mein hai veh shakti
Jis se nikhar jaayegi teri bhakti.

Yeh maun vaani ka nahin, yeh maun hai mann ka
Isliye bahut mahatva hai dhyan aur simran ka
Dhyan se praapt hogi samaadhi aur samaadhi se milegi mann ko sthirta aur samta
Isee prayaas se praapt hogi mann ko maun kee kshamtaa.

Maun hee dega tujhe teri pehchaan
Maun hee dikhaayega tujhe tujh mein Bhagwaan
Maun se tu sunn paayega ruhaani aahat
Maun se tujhe vyaakul na karegi koi laukik chaahat.

Maun ke dauraan
Dikh jaayengi tujhe teri khaamiyaan
Maun se milegi shanti itnee
Ki kumm hoti jaayengi teri pareshaaniyaan.

Maun mein milega sakaaraatmak sakaash
Maun bhare dhyan mein dikhega divya prakash
Maun mein poornata se mehsoos hoga tujhe Guruji ka pyaar
Maun se hoga tera nirankaar se sakshaatkaar.

Isliye Guruji kehte Hain ki simran kar
Aur niyantran kar tu swayam apne mann par
Mann ko das banaakar tu bann ja uska swami
Aur maun se anandmayi banaa le tu apni yatra ruhaani.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Maun (02/24/2022)

Beshak (02/23/2022)

February 23, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1466

                           Beshak

Pyaare Guruji,

Beshak har raah par phool na miley
Har raah par Aapka ashish miley
Beshak har moad par na dikhe koi muskuraata chehra
Har moad par mehsoos ho Aapka pehra.

Beshak har roz na dikhe sooraj ka prakash
Mehsoos hota rahe Aapka sakaaratmak sakaash
Beshak aayein jeevan mein andhere ke pal
Aapki kripa se ve jaayein tal.

Beshak koi aur madad na karne aaye
Aapki kripa se mera zameer insaaniyat nibhaaye
Beshak toot pade museebaton ka pahaad
Aapki suraksha se veh na de meri bagiya ujaad.

Beshak bhogna padey praarabdh
Aapki bandagi se rahoon badh
Beshak karni padey bahut mehnat
Hoti rahe Aapki inaayat.

Beshak vifal ho jaaye koi prayaas
Phir bhi badhta jaaye Aap par vishwaas
Beshak baahar chaaya ho kalyuga
Aapki mehar se bheetar ho satyuga.

Beshak sataane lagey kabhi koi baat
Mujhe haunsala deta rahe Aapka saath
Beshak aaye niraasha kee koi nisha
Aapka noor dikhaaye mujhe disha.

Beshak shareer ko chod de meri rooh
Usey manzil takk pahunchaaye Aapki khushboo
Beshak mere saamne aaye mera maran
Mujhe sharan dein Aapke kamal charan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Beshak (02/23/2022)

Andheri Shaam Hai Toh Kya Hua (02/22/2022)

February 22, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1465

  Andheri Shaam Hai Toh Kya Hua

Andheri shaam hai toh kya hua
Guruji ke naam ka chirag jalaa le
Akelapann hai toh kya hua
Mann mein basey Guruji ko bulaa le.

Gumm hai toh kya hua
Yeh kewal hai mehmaan
Khushi baahar nahin, tere bheetar hai
Yeh satya le tu jaan.

Durbhagya ke kaale baadal ke peechhe Saubhaagya ka sooraj hai sunehra
Kyunki tere jeevan ke har baadal par bhi
Guruji de rahe Hain paawan pehra.

Niraasha se tu naummeed na ho
Tu apna santulan matt kho
Ummeed kee kiran laa rahi hai asha
Samajh tu Guruji kee khaamoshi kee bhaasha.

Is andheri shaam aur niraasha ke mahaul mein
Akelepann aur gumm ke daur mein
Kumm se kumm toone jaana ki kaun apna hai kaun paraaya
Jaanega tu ki tere Guru ka ashirwaad sada hai kaam aaya.

Isliye lekar Guruji ka nirmal naam
Apne bheetar kee khushi ko pehchaan
Tujhse is khushi ko koi chheen sakta nahin
Guru kripa se gehre se gehra ghaav bhi dukhta nahin.

Itnee komal hai Guruji kee mehar
Ki tera har ghaav jaayega bhar
Niraasha kee nisha jaayegi guzar
Tu vishwaas aur dheeraj dhar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Andheri Shaam Hai Toh Kya Hua (02/22/2022)

Pal Pal Yoon Hee Beet Raha Hai (02/21/2022)

February 21, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻#
1464

       Pal Pal Yoon Hee Beet Raha Hai

Pal pal yoon hee beet raha hai
Hamesha kee tareh samay jeet raha hai
Beshak tu is gulami se hai thakta
Tu samay kee reet badal nahin sakta.

Lekin Guruji Hain samay ke swami
Unkee hukoomat hai bahut puraani
Aur aaj bhi chalti hai khoob shaan se
Aakhir kaun takkar le sakta hai MahaShiv Bhagwaan se.

Guruji Apne prataap se badal sakte Hain samay aur bhaagya ka bhi rukh
Jis samay mein tere bhaagya mein dukh likha hai, Guruji usmein bhi laa sakte Hain sukh
Aur agar nahin hua tere kisee dukh ka nivaaran
Toh usmein bhi zaroor hoga koi kaaran.

Guruji ke haath mein hai samay kee aur teri saanson kee bhi doar
Tu dono ka uttam prayog kar, baaki har vikarshan ko chod
Changa soch, changa kar, aur banda bann
Jitna ho sakey, karta chal tu simran.

Guruji ko thoda samay zaroor de har din
Shukrana karta chal, shikaayaton ke kaaran na gin
Anmol hain ye saansein, aur samay bhi hai anmol
Inmein Guruji ke naam ke amrit ko le tu ghol.

Phir chaahe aate jaate rahenge sukh aur dukh
Lekin har saans hogi paawan, aur samay bhi hoga shubh
Guruji kee nigraani mein tu kar paayega samay se pehle karmon ka bhugtaan
Simran aur nidhidhyaasan karte karte hoga tere nirvaan ka intazaam.

Guruji ka anuyaayi bann, logon ka nahin
Jaagrit rakh apni chetna, tere karmon mein basegi vahee
Guruji ne sumat dee hai tujhe taaki teri soch ho sahi
Guruji ko gyat hai ki teri neeyat kab kis oar hai bahi.

Apne aur doojon ke bheetar basee divya atma ko karta chal naman
Samay ka sadupyog kar ke khila de apne changey karmon ka chaman
Guruji kee kahee baaton ka karta chal tu anusaran
Saanson ko simran se nirmal karta chal har kshan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Pal Pal Yoon Hee Beet Raha Hai (02/21/2022)

Unkee Sharan Hai Mangalmay (02/20/2022)

February 20, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1463

      Unkee Sharan Hai Mangalmay

Tere bin kiye zikr
Guruji ko hai teri fikr
Isliye rakh tu sabr
Aur manaata chal shukr.

Guruji Hain taral taruvar
Meethi chhaaon ka dete Hain avsar
Bhakton ke adhiktar karma swayam par lekar
Dete Hain karmon ke udaar phal ka var.

Guruji ke paas har marz kee dawaai hai
Unke chai aur langar prasad kee vaddi vadiyaayee hai
Tu shraddha se unhe grehen kar
Tu har vehem ka abb dehen kar.

Tu mehsoos kar Guruji ka spandan
Teri har chinta ka hoga khandan
Akhand jyot jalaa Guruji ke naam kee
Unka naam lekar shuruaat kar har kaam kee.

Khatm hoti hai teri soch jahaan
Shuru hoti hai Guruji kee soch vahaan
Unkee soch paar kar jaati hai aasmaan
Kyunki Unkee soch ka nahin hai khaatma.

Isliye chod de har sanshay
Chod de har bhayy
Kyunki ye toh hai tayy
Ki Unkee sharan hai mangalmay.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Unkee Sharan Hai Mangalmay (02/20/2022)

Pyaare Guruji Se Pyaar Kar (02/19/2022)

February 19, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1462

 Pyaare Guruji Se Pyaar Kar

Pyaare Guruji se pyaar kar
Ve dikha rahein Hain dagar
Tu Unhee ka naam lekar
Tayy karta chal ye safar.

Zindagi kee dhoop chhaaon se na dar
Beshak Guruji tujhe na aayein nazar
Unkee hai har pal tujhpar nadar
Ve barsaa rahe Hain Apni mehar.

Chaahe ho jaaye kalyuga ka gadar
Tu na honei de swayam par niraashajanak asar
Tu atma-bal aur neevenpann se sajaa apna vichaar aur swar
Aur sheelta ke raaste par ho tu agrasar.

Tu har haal mein dheeraj dhar
Guruji kee bhakti mein kar le jeevan basar
Unka haath sada hai tere sir par
Aur Unke ashirwaad se vyapt hai tera ghar.

Tu Guruji ka naam simar
Ve aanch na aane denge tujh par
Apne roam roam mein Shukrana bhar
Tere rakshak Hain swayam Bhagwaan Har.

Tu Guruji se maang le yeh anmol var
Ki Ve sadaa thaame rahein tera kar
Tera aur Unka sambandh hai amar
Unkee kripa se yakeenan tu jaayega tarr.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Pyaare Guruji Se Pyaar Kar (02/19/2022)