February 4, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar šš»šš» # 1447
Tu Mehmaan Hai Yahaan Par
Tu mehmaan hai yahaan par
Isey apna sanaatan ghar na lena samajh
Tujhe yahaan bheja gaya thaa sulajhne
Tu toh pehle se bhi zyada raha hai ulajh.
Abb takk nahin hai seekha
Toh kumm se kumm seekh jaa is mahaamaari se
Ki Guruji ko paana bilkul mumkin hai
Tere bin nikale tere ghar kee chaar deewari se.
Kyunki Guruji Hain MahaShiv Bhagwaan
Unn takk pahunchne ka raasta tere bheetar hai vidyamaan
Kar ke Unkee noorani chhavi ko apne antarmann mein viraajmaan
Unhe paane ke liye tujhe karte rehna hai simran aur dhyan.
Doob kar amrit swaroopi Gurbani mein
Tu tarr jaayega zindagaani mein
Gurbani ke dwaara Guruji se har pal aur bhi judta chal
Jo bhi Guruji se duur le jaaye, har uss dabaav aur prabhaav se tu mudta chal.
Tu kalyuga kee hawaa ka gulam na bann
Mann mein basee amrit kee khan ko chodkar, tu baahar matt dhoondhne ja dhan
Bheed mein gumne ke bajaaye Guruji mein kho kar tu reh magn
Waqt beeta jaa raha hai, na vyarth ganvaa abb tu ek bhi kshan.
Jo pal vyarth hain chale gaye, faayda nahin unke liye ronei ka
Abb jaisa samaa na aayega phir, kar le shubh kaam paap dhone ka
Anupam anand hai khud ko Guruji ke naam mein khone ka
Guruji toh sabke jaise tere bhi Ishwar Hain, abb tera waqt aa gaya hai Unka das honei ka.
Ishwar ke alaawa mithya hai har aakarshan
Kaafi mayyl pehle se hee hai, aur mayyla toh na kar apne mann ka darpan
Adhogati honei mein der nahin lagti, isliye apni matt tu kar de Guruji ko arpan
Unse kar ardaas ki Ve sumat bakhshein, aur
nibhaata chal tu insaaniyat ka dharam
Tu karta chal Guruji ke naam ka shravan aur manan
Apne mann mandir mein basee Unkee chhavi ko tu kar shat shat naman
Bheed toh is janam mein hee saath chod degi, lekin Guruji saath rahenge har janam
Isliye Guruji aur Unke hukm ka anusaran kar le, aur sudhaartaa chal tu apne karam.
š¹š¹š¹š¹š¹š¹š¹
Jai Guruji šš»šš»
Dhirja