Abb Kee Baar Inkaar Na Kar (02/07/2022)

February 7, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1450

       Abb Kee Baar Inkaar Na Kar

Kar leen khadi kothiyaan hazaar
Yash paaya aisa ki pooje tujhe saara sansaar
Phir bhi tera mann hai bechayyn bekaraar
Tu dhoondh raha hai apni naav ke liye manjhi aur patvaar.

Guruji bula rahe Hain tujhe, abb kee baar inkaar na kar
Bahut khushakismat hotey Hain ve, jinhe milta hai Guruji ka dar
Guruji MahaShiv Hain, koi shakti nahin hai Unse oopar
Isliye haath se na jaane de tu yeh shubh avsar.

Guruji ka naam japne se nishchit hai tera poorna uddhaar
Guruji ka naam jisne bhi hai japaa, uska yakeenan hua hai beda paar
Guruji ke naam kee mahima anant hai, kyunki Ve swayam Hain Parwardigaar
Guruji ke naam ne Unke har bhakt ko diya hai taar.

Jabb is naam ka amrit seenchega tere mann ko
Toh yeh saaf karne lagega tere mann ke darpan ko
Is naam ko japte huey jitna tu bheetar ko jaayega
Utna hee tujhe baahari bhautikta kee vyarthta ka ehsaas hota jaayega.

Guruji ke naam kee shakti se tu kar paayega Unhe samarpan
Guruji ke naam kee bhakti se tere mann mein shukrana ka bhaav aayega har kshan
Guruji ke naam kee pavitra sarita mein karta chal tu snaan
Guruji ke naam mein hee baste Hain sampoorna Brahmand ke Bhagwaan.

Is naam kee mahaanta ko pehchaan
Is naam ka kar tu sammaan
Guruji ho rahe Hain tujhpar meharbaan
Unka naam hai amrit kee khan.

Guruji ko saump de apne jeevan kee naiya
Koi aur ho hee nahin sakta Unke jaisa khewaiya
Unke haath mein jo hogi teri naav kee patvaar
Toh Unkee kripa se bin sanshay hoga tera beda paar.

Kyunki vahaan na padd kaam aayega na paisa
Sabb yahaan dharaa reh jaayega vaise ka vaisa
Vahaan par kaam aayega kewal Guruji ka naam
Guruji ke naam se hee hoga tera kalyaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Abb Kee Baar Inkaar Na Kar (02/07/2022)

Leave a comment