February 12, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1455
Kya Hua……
Kya hua
Agar chhaaya hai andhera agyan ka
Guruji aisee mehar kar rahe Hain
Ki jald hee uday hoga sooraj gyan ka.
Kya hua
Agar chhaaya hai andhera ahankar ka
Guruji aisee leela rach rahe Hain
Ki vaadya bajne wala hai neevenpann kee jhankaar ka.
Kya hua
Agar chhaaya hai andhera beemari ka
Guruji kee daya se ho raha hai
Aagaman aarogyata kee tayyaari ka.
Kya hua
Agar chhaaya hai andhera jhooth aur chori ka
Guruji aisee subuddhi bakhsh rahe Hain
Ki antt honei lagg raha hai har seena jori ka.
Kya hua
Agar chhaaya hai andhera har tareh ke manovikaar ka
Guruji aisee sumat de rahe Hain
Ki nakaratmak prabhaav na rahega kisee prakaar ka.
Kya hua
Agar aise andhere mein dikh nahin rahi hai manzil
Guruji jald hee savera karne wale Hain
Taaki tere dil ko sukoon jaaye mil.
Andhera kewal pehlu hai ek
Ismein hain shikshaaein anek
Andhere mein tu mann kee aankhon se dekh
Toh dikhegi sadachari kee roshni andhere ke paar
Guruji kee kripa se tu abhi se hai uska hissa
Unkee karuna se uss mukaam par pahunchega teri kahaani ka kissa.
Apne har ghaav ko dhakk le
Thoda aur sabr tu rakh le
Andhere mein bhi uss paar kee roshni ne
Tere antt-karan ko kiya hai ujjwal
Tu jis shraddha bhaav aur himmat se raha hai chal
Tu vaise hee aagey badhta chal
Guruji tere angg sangg Hain har pal
Andhere ka antt hoga, roshni hee roshni hogi kal.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja