February 13, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1456
Aur Waqt Na Kar Tu Zaaya
Idhar dauda aur dauda udhar
Kuch bhi haath na aaya
Bin simre kaise naseeb jaayega sudhar
Isliye aur waqt na kar tu zaaya.
Kabhi khatm nahin hongei tere kaam
Simar le tu Guruji ka naam
Is naam se hee banenge tere sab kaam
Isliye Guruji ke naam ka kar le tu dhyan.
Guruji MahaShiv Hain, Unhonei swayam hai bataaya
Tabhi toh Unhee mein Brahmaji, Vishnuji aur Rudra Dev ka roop hai samaaya
Jis bhi devi devta ka le tu naam
Tere mann kee awaaz pahunchegi Guruji ke dham.
Guruji ko rehti hai teri fikr
Isliye Ve baar baar karte Hain simran ka zikr
Ye kewal zikr nahin, balki hai Unka aadesh
Tujhe simran kee daat dekar tujhpar upkaar kar rahe Hain Sarvesh.
Isliye tu idhar udhar daudna chod de
Swayam ko kamzor karne wali bediyaan toad de
Simran se badha tu apna atma-bal
Simran se tere kasht jaayenge tal.
Simran mein hoti rahegi Guruji se teri baat
Simran ke liye har vela changaa hai, chaahe vo ho din ya ho raat
Teri duvidha hogi duur, tera ahankaar hoga chuur
Tere chehre par dikhne lagega pyaare Guruji ka noor.
Simran dwara Guruji karte rahenge tera pavitrikaran
Ekaagrachitt na bhi ho paaye, toh bhi baith ja karne simran
Kyunki simran hee hai veh anmol dhan
Jis se Guruji kee divyata se hota hai jeevan roshan.
Yahee divya roshni tujhe raasta dikhaayegi
Simran kee saugat teri zindagi mein anand laayegi
Simran ke amrit se teri atma kee ruhaani pyaas mitt paayegi
Simran kee daat tere jeevan ko safal banaayegi.
Jo bhi yash aur dhan insaan ne hai kamaaya
Veh yahaan se jaane ke baad na kaam hai aaya
Simran ne hee Guruji kee praapti ka path hai dikhaaya
Isliye aur waqt na kar tu zaaya.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja