Guruji Ka Swaroop (02/18/2022)

February 18, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1461

                Guruji Ka Swaroop

Pyaare Guruji ke sabhi bhakt jann
Guruji se jodte hain apna mann
Aur jabb ve Guruji ka Swaroop paate hain
Toh ve harshit ho jaate hain.

Swayam kaha hai Guruji ne
Ki Unke Swaroop se jabb bhakt karenge baat
Toh unhe apne prashnon ka uttar milega
Kyunki Swaroop mein basey Hain Guruji saakshaat.

Hum mein se kitne bhakton ko hua hai anubhav is sachchaayee ka
Guruji ke har Swaroop mein prataap hai Unkee vadiyaayee ka
Guruji nahin gaye Hain yahaan se kaheen duur
Unke har Swaroop mein basaa hai Unka noor.

Guruji ke Swaroop kee mahatta Guruji kee maujoodagi hai
Unke Swaroop ka aadar karna Unkee oar hamaari bandagi hai
Unke Swaroop mein niwaas karta hai Unka hamaare prati pyaar
Isliye bahut aawashyak hai ki hum karein Unke Swaroop ka prem bhara satkaar.

Guruji ke Swaroop ko kewal Swaroop samajhna bilkul bhi sahi nahin hai
Jo sangat Guruji se May 31, 2007 se pehle milee hai, unhonei bhi yeh baat hai kahi hai
Guruji ka Swaroop hai Guruji ka roop ruhaani
Isliye rokni hogi Swaroop ko kisee bhi tareh badalne kee naadaani.

Guruji ke pratyek Swaroop mein basaa hai Unka ashirwaad
Unke Swaroop mein basey hain sangat ke prati Unke jazbaat
Har pal badhe bhakton ke mann mein Guruji ke liye sammaan
Unke Swaroop ka anaadar kar ke na karey koi Unka apmaan.

Na karein Guruji ke Swaroop par apni oar se koi likhaawat
Na karein kisee chitrakala se swaroop kee sajaavat
Guruji ka har Swaroop hai MahaShiv Bhagwaan ka saumya roop
Unka har Swaroop hai divya saundarya mein anoop.

Yeh vinamr guzaarish bhi hai aur pukaar bhi
Yeh bhakton ka kartavya bhi hai aur adhikaar bhi
Nibhaayein Guruji ke har Swaroop ka aadar karne kee zimmedaari
Kyunki Unka har Swaroop hai saugat paawan aur pyaari
Is saugat ke prati shraddha aur prem bhaav badhaayein
Is mahatvapoorna sandesh ko Guruji kee saari sangat takk pahunchaayein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Ka Swaroop (02/18/2022)

Shukrana Ka Fasaana (02/17/2022)

February 17, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1460

             Shukrana Ka Fasaana

Jabb dukhi hotey hain hum bhakt jann
Tabb Guruji kee aankhon se aansoon behte hain
Positive socha karo aur khush raho
Hamaare pyaare Guruji kehte Hain.

Hamein milee hai kaayinaat kee sabse behtareen suraksha
Guruji ne hamein hamaari naadaaniyon ke liye bhi hai bakhsha
Koi aur nahin hai Unke jaisa leela dhari
Aur koi nahin hai hum jaisa bhaagyashaali.

Isliye jabb bhi mann honei lagey pareshaan
Kar lein hum Unka simran aur dhyan
Hum hain kinkar Unke, Ve Hain hamaare Bhagwaan
Virlon ke naseeb mein hotei hain
aise Mahapurush mahaan.

Chunauti aaye toh hum na ghabraayein
Guruji ke naam ka kavach pehen kar saamna karte jaayein
Is kavach ka paraakram hai aparampaar
Hamein rakhna hai buss apna vishwaas barkaraar.

Kuch bhi aisa na karein hum
Jo Guruji ko na bhaaye
Hamaara koi bhi raaz nahin hai aisa
Jo hamaara Guru na jaan paaye.

Guruji hamaari har zaroorat aur chaahat par gaur farmaate Hain
Hum zidd na karein aur maangein nahin toh Ve Apni marzi se hamaari jholi bhar paate Hain
Hum apni swatantra ichcha, ravaiye, aur neeyat par dete rahein poora dhyan
Kyunki Guruji toh chaahte Hain karna hum sabka poorna kalyaan.

Jo mila, veh Guruji kee kripa
Agar kuch nahin mila, veh bhi Unkee raza
Dono paristhitiyon mein mann kee sthiti samta kee ho jaaye
Toh jeene ka hoga alag sa hee maza.

Bheetar se aur baahar se muskuraayein hum
Guruji kee kripa se zaroor kumm hongei hamaare gumm
Hamaari har saans mein ho Unke liye itna Shukrana
Ki hamaara jeevan hee bann jaaye Shukrana ka fasaana.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Shukrana Ka Fasaana (02/17/2022)

Jabb Aaya Dil Mein Yeh Armaan (02/16/2022)

February 16, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1459

   Jabb Aaya Dil Mein Yeh Armaan

Guruji sweekarein, jabb aaya dil mein yeh armaan
Tabb Guruji ne banaa liya mujhe apni santaan
Unkee paathshaala mein jabb mila dakhila
Toh meri kismat ka phool harshit hokar khila.

Dubki lagaayi jo Guruji ke naam mein
Toh ashirwaad mil gaya har kaam mein
Peeya jo amrit Guruji ke naam ka
Toh ashish mila saare teerath dham ka.

Dekha jo Guruji ka Swaroop
Toh mann ko chayyn mila khoob
Mann mein huey jabb jabb Unke darshan
Tabb tabb badhne lagaa Unkee oar aakarshan.

Paakar Unke darshan saakshaat
Milee jholi mein sabse khoobsoorat khairaat
Jabb khwaab mein hua Unka deedar
Toh neend ka honei lagaa intazaar.

Jabb aayi Guruji kee khushboo
Toh gadd gadd ho gayi rooh
Jabb baithi simran mein
Toh dikhe Vo antarmann mein.

Jabb jabb milee Guruji kee sewa kee saugat
Toh aur bhi yakeen hua ki apni nahin hai koi aukat
Jabb Unkee rehmat se mila satsang
Tabb bhi paaya Unhe angg sangg.

Jabb paani chaahi Guruji se koi shiksha
Tabb tabb Unhonei dee deeksha kee bhiksha
Kar paaoon har pal jis abhidhaan se Unka dhyan
Unhonei diya Apne uss nirmal naam ka daan.

Jabb jabb dhoondha Guruji mein naath
Ve ho liye mere saath
Jab bhi maanga Unse maa ka pyaar
Guruji ne dee mamta beshumaar.

Jabb dekhna chaaha Unmein meet
Tabb Unhonei nibhaayee dosti kee reet
Jabb jabb Guruji ko jis bhi roop mein pukaara
Unhonei hamesha aakar diya sahaara.

Jabb jabb duniyadaari dekh mera dil bhar aaya
Guruji ne tabb tabb yaad dilaaya ki ye sab hai maya
Jabb jabb maangi Guruji se neevenpann aur sehensheelta kee doar mein shakti
Unhonei uss doar mein piroh dee bhakti.

Saahas aur atma-vishwaas kee zaroorat hui jis pal
Guruji ne meri baanhein thaam kar badhaaya atma-bal
Vintee hai Unse ki kabhi na bhooloon karna Unka Shukrana
Unkee rehmaton se dhanya hua hai mujh
nacheez ka afsaana.

Jabb takk chale jee kar mar kar yahaan aana jaana
Tabb takk Unhonei hee hai raasta dikhaana
Ve chaahein toh beshak de dein kabhi na kabhi mukti
Varna mujhe toh khushi se raas aaye sada Unke kamal charnon mein rehne kee yukti.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Jabb Aaya Dil Mein Yeh Armaan (02/16/2022)

Aapke Ashirwaad Ka Taaj (02/15/2022)

February 15, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1458

Aapke Ashirwaad Ka Taaj

Param poojaneeya Guruji Maharaj,

Hamaari har khamoshi ki Aap sunn lete Hain awaaz
Hamaare jeevan mein kya honei wala hai, kewal Aap jaante Hain veh raaz.

Ateet aur vartmaan ke saath saath
Bhavishya ke bhi swami Hain Aap
Aapke vash mein hai har din har raat
Aur antaryaami bhi Hain Aap.

Agam Anant Hain agochar Hain
Aur Trilokinaath Hain Aap
Aap hee sarvgyaata Hain
Aur Bholenath bhi Hain Aap.

Sabhi par hai Aapki nadar
Sabhi par hai Aapki nazar
Sabke jeevan par hai Aapki leela ka asar
Aap se nahin chhipa hai yahaan ka koi bhi manzar.

Aap yahaan beshak na karein sawaal jawaab
Aapke paas sabke karmon kee hai khuli kitaab
Aapke paas hai veh khaata jismein hai sabke karmon ka hisaab
Jo adaa karna hoga, chaahe yahaan jo bhi ho hamaara khitaab.

Aapse hee jeevan shuru hua hai, Aapse hee hoga yeh khatm
Kripa keejiye ki is beech bhi rahein hum Aap mein magn
Har koi Aapke vachanon par chale
Taaki jabb in saanson ka sooraj dhale
Toh na ho mann mein sharmindagi
Kewal ho Shukrana bhari bandagi.

Aapki mehar ke hain hum sab mohtaaj
Aap karte rahiye bhakton ke anta-karan par raaj
Sanvaar lein hum apna kal aur aaj
Pehen kar Aapke ashirwaad ka taaj.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aapke Ashirwaad Ka Taaj (02/15/2022)

Aapke Pyaar Par Mai Vaari Jaaoon (02/14/2022)

February 14, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1457

  Aapke Pyaar Par Mai Vaari Jaaoon

Pyaare Guruji,

Aapke pyaar par mai vaari jaaoon
Aapke pyaar kee khumari mein kho jaaon
Sabhi ko Aapki mahima sunaaoon
Bin Aapko saraahe mai reh na paaoon.

Mahima Aapki hai anoop
Har saundarya se adhik sundar hai Aapka roop
Leela Aapki hai aparampaar
Sab bhakton ko deti hai taar.

Aapki itnee pyaari si hai muskaan
Aapka rutba hai sabse mahaan
Aapki nirali hai shaan
Aapke vash mein hain sabhi ke praan.

Aapke pyaar se hai poshan poore sansaar ka
Aapka pyaar banta hai sahaara har beemaar ka
Aapka pyaar sweekaarta hai arghya har bhakt ke pyaar ka
Aapka pyaar naashak hai bhakton ke har vikaar ka.

Aapke pyaar se milta hai jeevan daan
Aapka pyaar dilaata hai khoya hua atma-sammaan
Aapka pyaar paar kar jaata hai aasmaan
Kumm hai, jitna bhi kiya jaaye Aapke pyaar ka sammaan.

Apni har saans ko kar dun Aap par qurbaan
Vaise bhi ye saansein meri hain hee kahaan
Aapne hee bakhshi Hain, kyunki Aap Hain itne meharbaan
Kripa karein ki in saanson se karti rahoon mai Aapka gungaan.

Aapke pyaar ke mahasaagar mein doobti rahoon is kadar
Ki Aapki mehar se usmein doobte doobte mai jaaoon tarr
Aapki maujoodagi ka ehsaas hota rahe is kadar
Ki Aapke siwa mujhe aur kuch na aaye nazar
Aapki bhakti mein leen rehte huey beet jaaye yeh safar
Aapke pyaar kee aseemta ke akash mein udti jaaoon parinda bannkar.

Aapka pyaar mujhe udaa kar le jaaye akash ke uss paar
Vahaan par bhi paati rahoon mai Aapka pyaar
Karti rahoon Aapke prati apne pyaar ka izhaar
Aapke pyaar se aata rahe meri rooh par nikhaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aapke Pyaar Par Mai Vaari Jaaoon (02/14/2022)

Aur Waqt Na Kar Tu Zaaya (02/13/2022)

February 13, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1456

        Aur Waqt Na Kar Tu Zaaya

Idhar dauda aur dauda udhar
Kuch bhi haath na aaya
Bin simre kaise naseeb jaayega sudhar
Isliye aur waqt na kar tu zaaya.

Kabhi khatm nahin hongei tere kaam
Simar le tu Guruji ka naam
Is naam se hee banenge tere sab kaam
Isliye Guruji ke naam ka kar le tu dhyan.

Guruji MahaShiv Hain, Unhonei swayam hai bataaya
Tabhi toh Unhee mein Brahmaji, Vishnuji aur Rudra Dev ka roop hai samaaya
Jis bhi devi devta ka le tu naam
Tere mann kee awaaz pahunchegi Guruji ke dham.

Guruji ko rehti hai teri fikr
Isliye Ve baar baar karte Hain simran ka zikr
Ye kewal zikr nahin, balki hai Unka aadesh
Tujhe simran kee daat dekar tujhpar upkaar kar rahe Hain Sarvesh.

Isliye tu idhar udhar daudna chod de
Swayam ko kamzor karne wali bediyaan toad de
Simran se badha tu apna atma-bal
Simran se tere kasht jaayenge tal.

Simran mein hoti rahegi Guruji se teri baat
Simran ke liye har vela changaa hai, chaahe vo ho din ya ho raat
Teri duvidha hogi duur, tera ahankaar hoga chuur
Tere chehre par dikhne lagega pyaare Guruji ka noor.

Simran dwara Guruji karte rahenge tera pavitrikaran
Ekaagrachitt na bhi ho paaye, toh bhi baith ja karne simran
Kyunki simran hee hai veh anmol dhan
Jis se Guruji kee divyata se hota hai jeevan roshan.

Yahee divya roshni tujhe raasta dikhaayegi
Simran kee saugat teri zindagi mein anand laayegi
Simran ke amrit se teri atma kee ruhaani pyaas mitt paayegi
Simran kee daat tere jeevan ko safal banaayegi.

Jo bhi yash aur dhan insaan ne hai kamaaya
Veh yahaan se jaane ke baad na kaam hai aaya
Simran ne hee Guruji kee praapti ka path hai dikhaaya
Isliye aur waqt na kar tu zaaya.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aur Waqt Na Kar Tu Zaaya (02/13/2022)

Kya Hua…… (02/12/2022)

February 12, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1455

               Kya Hua……

Kya hua
Agar chhaaya hai andhera agyan ka
Guruji aisee mehar kar rahe Hain
Ki jald hee uday hoga sooraj gyan ka.

Kya hua
Agar chhaaya hai andhera ahankar ka
Guruji aisee leela rach rahe Hain
Ki vaadya bajne wala hai neevenpann kee jhankaar ka.

Kya hua
Agar chhaaya hai andhera beemari ka
Guruji kee daya se ho raha hai
Aagaman aarogyata kee tayyaari ka.

Kya hua
Agar chhaaya hai andhera jhooth aur chori ka
Guruji aisee subuddhi bakhsh rahe Hain
Ki antt honei lagg raha hai har seena jori ka.

Kya hua
Agar chhaaya hai andhera har tareh ke manovikaar ka
Guruji aisee sumat de rahe Hain
Ki nakaratmak prabhaav na rahega kisee prakaar ka.

Kya hua
Agar aise andhere mein dikh nahin rahi hai manzil
Guruji jald hee savera karne wale Hain
Taaki tere dil ko sukoon jaaye mil.

Andhera kewal pehlu hai ek
Ismein hain shikshaaein anek
Andhere mein tu mann kee aankhon se dekh
Toh dikhegi sadachari kee roshni andhere ke paar
Guruji kee kripa se tu abhi se hai uska hissa
Unkee karuna se uss mukaam par pahunchega teri kahaani ka kissa.

Apne har ghaav ko dhakk le
Thoda aur sabr tu rakh le
Andhere mein bhi uss paar kee roshni ne
Tere antt-karan ko kiya hai ujjwal
Tu jis shraddha bhaav aur himmat se raha hai chal
Tu vaise hee aagey badhta chal
Guruji tere angg sangg Hain har pal
Andhere ka antt hoga, roshni hee roshni hogi kal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Kya Hua…… (02/12/2022)

Kar Le Thoda Aur Intazaar (02/11/2022)

February 11, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1454

Kar Le Thoda Aur Intazaar

Kar le thoda aur intazaar
Teri niyati dobaara likh rahe Hain Parwardigaar
Ve Guruji ke roop mein Hain tere madadgaar
Tu Unpar sab chod kar kar le Unka gungaan baarambaar.

Kar le thoda aur intazaar
Guruji teri zindagi rahe Hain sanvaar
Tu Unka Shukrana karta chal baar baar
Unke tujhpar Hain ehsaan beshumaar.

Kar le thoda aur intazaar
Adaa karta jaa apne karmon ka udhaar
Guruji kar rahe Hain tera uddhaar
Taaki tere aane wale jeevan mein ho sudhaar.

Kar le thoda aur intazaar
Na ho chinta se tu beemar
Mann ke sanshay ko bharose ke baan se de tu maar
Guruji kee kripa se ye baan kaam aayega har baar.

Kar le thoda aur intazaar
Kar le Guruji se baatein do chaar
Tere liye sada khula hai Guruji ka dwaar
Unke charnon mein kar le apne prem ka izhaar.

Kar le thoda aur intazaar
Ve laayenge tere naseeb mein safalta kee bahaar
Tujhe ashirwaad dene se kabhi na karenge inkaar
Tere bin maange hee teri jholi bharenge Ve paalanhaar.

Kar le thoda aur intazaar
Guruji sun rahe Hain teri pukaar
Unhonei sambhaala hua hai tera ghar parivaar
Unkee tujhpar rehematein hain kayee hazaar.

Kar le thoda aur intazaar
Na maan itnee jaldi tu haar
Tu jode rakh Guruji se seedhi taar
Ve tera haunsala rakhenge barkaraar.

Kar le thoda aur intazaar
Tu apna santulan matt bigaad
Guruji toh sambhaalte Hain saara sansaar
Teri zindagi ke rukh par bhi laayenge nikhaar.

Kar le thoda aur intazaar
Guruji denge tujhe ruhaani uphaar
Guruji har tareh se karenge tujhpar upkaar
Tere kalyaan ka har sapna karenge Ve saakaar.

Kar le thoda aur intazaar
Guruji lagaayenge tera beda paar
Unke haath mein hai teri naiya kee patvaar
Aur Unke dil mein hai tere liye pyaar aparampaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Kar Le Thoda Aur Intazaar (02/11/2022)

Apni Sampoornata Par Kar Tu Vishwaas (02/10/2022)

February 10, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1453

Apni Sampoornata Par Kar Tu Vishwaas

Apni sampoornata par kar tu vishwaas
Aur banaa reh tu Guruji ka das
Unka har bhakt Unke liye hai bahut khaas
Tu bhi Unn bhakton mein se ek hai, isliye na ho tu udaas.

Guruji ne tujhe diya hai ye shareer
Guruji ne sambhaali hai teri taqdeer
Jab jab lagega Unhe sahi, toh kismat ka lekha likh denge dobaara
Tere pichhle karmon ka bhaar uthaane mein dete rahenge tujhe sahaara.

Guruji ne diya hai tujhe anta-karan
Tu karta chal Unka smaran
Tere bhautikvaad ka kiya Unhonei intazaam
Tujhe kaabil banaaya ki tu karey kaam aur aaraam.

Duniyadaari ka tujhe tamaasha Guruji ne dikhaaya
Dikhaaya ki kaise khel khelti hai maya
Unmein lagan lagaane ka mahatva samjhaaya
Unka simran aur dhyan karne ka tareeka bataaya.

Joda Unhonei tujhe divya Gurbani se
Sikhaaya achchi baatein seekhna sabki zindagaani se
Ve waqif Hain tere bholepan aur teri naadaani se
Aur avagat Hain teri har qurbaani se.

Samjhaaya Guruji ne Satsang ka sahi arth
Taaki tu bhatak kar samaa na karey vyarth
Logon se judne ke bajaaye Guruji se jud, ye bhi Guruji ne samjhaaya
Jo tujhe Guru se duur le jaaye, vaise har prabhaav se mudna sikhaaya.

Jo bewafaai hui tere saath
Dekh rahe Hain tere nath
Kisee ko na pahunchaane de tu apne dil par chot
Kisee ke liye na laa tu apne dil mein khot.

Apni pareshaaniyon ka zikr karna chod de
Duniya kee fikr karna chod de
Neki kar aur kooen mein daal
Lekin kisee kee vajeh se na bigaad tu apna haal.

Duniya mein toh rehna hai, koi faayda nahin kaheen bhaagne ka
Sadhna aur chetna ko badhaa, taaki bhayy na rahe jaagne ka
Pratyahar se swayam ke sanskaaron kee kar shuddhi
Guruji se ardaas karta chal, Ve dete rahenge tujhe is shuddhi ke sangg subuddhi.

Keh rahe Hain Ve ki tu kisee se kumm nahin
Tujhe Unse koi duur kar sakey, kisee mein veh dumm nahin
Tu bharosa rakh apni sampoornata aur apne atma-bal par
Aur na de kisee ko bhi inhe todne ka avsar.

Guruji se tu kar sakta hai har baat
Tujhe dee hai Unhonei sampoornata kee saugat
Tere sir par sada hai Unka haath
Aur Ve har pal Hain tere saath.

Maana ki tu hai adhoora Unke ashirwaad ke bin
Lekin Ve tujhe anugreehit kar rahe Hain raat aur din
Tujhe daatein milee hain anginat, tu na sakega unhe gin
Teri sampoornata ko jaagrit rakhne ke liye Ve tujhe anubhav denge bhinn- bhinn.

Tu sakaaraatmakta se apni sampoornata ka kar poshan
Spandan kumm karne wale kisee bhi asar ko na karne de apna shoshan
Poora prayatna kar ki tujhse paap na ho aur chhoot jaayein tere manovikaar
Teri sachchi neeyat aur teri koshish dekh rahe Hain Parwardigaar.

Guruji teri sampoornata ko rakhenge barkaraar
Tu Unhe de apna shraddha bhaav aur niswaarth pyaar
Tabb takk apne kartavya dhairya aur imaandaari se nibhaata chal
Jabb takk tere jeevan ka sooraj nahin jaata hai dhal.

Tu bilkul matt ghabraana
Tu Unke bharose chalte jaana
Yakeenan safal hoga tera safar
Kyunki tujhpar hai Guruji kee mehar-e-nazar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Apni Sampoornata Par Kar Tu Vishwaas (02/10/2022)

Bhakti Kee Bhaasha (02/09/2022)

February 9, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1452

              Bhakti Kee Bhaasha

Kitnee anokhi hoti hai
Bhakti kee bhaasha
Chaahe jeevan mein ho niraasha
Ye bhaasha jagaati hai dil mein asha
Chaahe mann mein ho isey samajhne kee kitnee bhi abhilaasha
Bahut hee mushkil hai samajhna iskee sampoorna paribhaasha.

Padta nahin hai kuch bhi kehna
Guruji jaante Hain ki hamein kya kya hai sehna
Ve swayam dete Hain bhakti ko shakti
Jismein hoti hai sehensheelta kee yukti.

Bhakti mein hota hai niswaarth pyaar ka vaas
Aur apne aaraadhya ko paane kee aas
Saath mein Unka angg sangg honei ka ehsaas
Jo banaata hai bhakti ko ek dhanya prayaas.

Shraddha se bhakti nikharti hai
Samarpan se sambhalti hai
Ekaagrachitt honei se bhakti sulajhti hai
Varna toh aksar ye ulajhti hai.

Bhakti se duur hota hai antar mann ka andhkaar
Bhakti ke nirantar prayaas se duur hotey hain vikaar
Jaagrit hoti hai chetna
Badh jaati hai samvedana.

Ek anokha sa anand milta hai
Jab bhakti ka chaman khilta hai
Akash mein sooraj har roz dhalta hai
Lekin bhakti ka diya har pal jalta hai.

Bholi bhakti se bin maange hee mil jaata hai veh sab
Jo hamaare liye uchit sochte Hain hamaare Rab
Guruji aaj bhi Hain aur Ve hee thei tabb
Unhe gyaat hai ki hamaare liye kya sahi kya aur kab.

Lekin, zaroori hai yeh rakhna yaad
Ki bhakti kee daat ke liye Guruji se karni hai fariyaad
Ki Ve bakhshein aisee shraddha aur pyaar
Jis se bhakti par aata rahe nikhaar.

Guruji dein aisee subuddhi
Ki chitt kee ho jaaye poorna shuddhi
Har pal hoti rahe bhakti bhaav mein vriddhi
Jaisi Guruji chaahein, vaisi hee ho bhakti kee vidhi.

Bhakti, gyan, aur vairaagya ka hai atoot naata
Ek hee parivaar ke sadasya hain ye, aisa hai maana jaata
Chitt shuddhi se bhakti apne in dono putron ke sangg awashya hoti hai prakat
Guruji kee mehar se teenon ke honei se duur hota hai duvidha ka sankat.

Guruji sumat dein ki Unkee bhakti mein rehne kee badhti jaaye hamaari ichchaa
Guruji simran kee aisee daat bakhshein ki hamaara Unmein dhyan ho sachchaa aur achchaa
Guruji, hamein deejiye neevanpann taaki hum karein Aapko Shukrana aur sarvsamarpan
Guruji, aisee kripa keejiye ki Aapki bhakti mein leen rehkar sanvar jaaye Aapke har bhakt ka jeevan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Bhakti Kee Bhaasha (02/09/2022)