March 1, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar šš»šš» # 1472
MahaShivratri Ka Parv
Mitaane agyan ka andhera
Laane chetna ka ujjwal savera
Aayi hai MahaShivratri kee taareekh
Jo hai Shiv aur Shakti ke sammilan ka prateek.
Falgun ke maas kee Krishna Chaturdashi
Laayi hai Shiv bhakton ke mann mein khushi
Kaha jaata hai ki Brahmaji aur Vishnuji ne kiya Shivji ka aisa vandan aur stavan
Ki Bholenath bhaktvatsal Shivji huey ati prassann.
MahaShivratri ka mahatva juda hai
Shivji aur Maa Parvati ke shubh vivah ke sangg
Bhakton ke kiye simran, dhyan aur nidhidhyaasan se
Har oar chhaa jaata hai ruhaani rangg.
Lekar Shivji ke naam anek
Bhakt jann karte hain Shivlinga ka abhishek
Shivji ke manan ke alaawa na aaye koi dhyan dooja
Isliye bhakt jann magn hokar karte hain Shivji kee pooja.
Guruji ke bhakton ke liye yeh din hai bahut hee khaas
Guruji ka simran aur dhyan karne ka hota hai shraddhapoorna prayaas
Guruji ke satsang mein hota hai Guruji kee mahima ka gungaan
MahaShiv Hain Guruji, saari sangat karti hai Unka maan.
Guruji ke Bade Mandir mein hoti hai sajaavat aur dhoom dham
Baarah jyotirlingon kee oorja se paripoorna hai yeh paawan teerath dham
Jo koi Bade Mandir ke paas se bhi hai guzar jaata
Veh jann bhi Guruji ka ashirwaad hai paata.
MahaShivratri ka hai bahut bada mahatva
Ki aawashyak hai bhakt ko anubhav karna Shiv tattva
Yeh mauka hai atma-vishleshan ka
Yeh shubh avsar hai atma-chintan ka.
Shuddh bhaav se prayaas karne wale bhakt ko Guruji mahaan
Shivoham kee satyataa kee anubhooti ka dete Hain vardaan
Koi ehsaas ho hee nahin sakta is divya ehsaas ke samaan
Yeh ehsaas sabhi ko ho, aisee mehar karein Guruji mein basey Bhagwaan.
Guruji kee saari sangat ko
MahaShivratri ke parv kee haardik shubhkaamnaayein
Guruji kee kripa se Unke sabhi bhakt jann
Unkee paawan mahima gaayein.
š¹š¹š¹š¹š¹š¹š¹
Jai Guruji šš»šš»
Dhirja