Agley Varsh Kee MahaShivratri Par (03/02/2022)

March 2, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1473

Agley Varsh Kee MahaShivratri Par

Kal thaa MahaShivratri ka tyohaar
Adhyatmikta aur chetna hai jiska saar
Beshak is varsh kee MahaShivratri gayi hai beet
Kyun na hum nibhaate rahein iske saar kee praapti kee reet.

Guruji se karein anurodh
Ki kabhi na aaye kisee ke mann mein pratishodh
Badhta rahe saamanjasya
Kumm hota jaaye aalasya.

Aalasya, Guruji ka simran karne ka
Aalasya, Unke dikhaaye maarg par chalne ka
Aalasya, atma-sudhaar kee oar badhne ka
Aalasya, Unke kahe anusaar banda bann-ne ka.

Guruji kee dee hui shuddhi aur subuddhi se
Hum apne aur doojon ke jeevan ko behtar banaayein
Guruji kee maujoodagi ke protsaahan se
Koshish karein ki aadhyaatmikta mein aagey badh paayein.

Simran aur dhyan se mann kee mayyl ko karein saaf
Khud ko aur doojon ko hum kar dein maaf
Kumm hota jaaye vikaaron ka bhaar
Insaaniyat ka farz nibhaate huey karte jaayein paropkaar.

Ek varsh se bhi kumm bachaa hai samay
Aglee MahaShivratri ke aane mein
Isliye apne vishwaas mein na laayein koi sanshay
Na vyast rahein bahaane banaane mein.

Aaj se hee, balki abhi, isee kshan se
Ruhaani raaste par mehnat karein lagan se
Shukrana karein Guruji ko mann se
Aur sampann hon Guruji ke ashirwaad ke dhan se.

Agley varsh kee MahaShivratri par
Aaj se ooncha ho hamaara adhyatmik starr
Mann mein na rahe koi duvidha ya darr
Ruhaaniyat ke path par ho rahe hon hum agrasar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Agley Varsh Kee MahaShivratri Par (03/02/2022)

Leave a comment