Mere Kadmon Kee Kahaani (03/05/2022)

March 5, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1476

Mere Kadmon Kee Kahaani

Na bandh kar kisee kasam se
Na bandh kar kisee rasm se
Chali aaoon apne har kadam se
Adhyatmik manzil ke aur bhi kareeb.

Is kahaani mein Guruji yakeenan Hain angg sangg
Varna is kahaani ka itna chaarul na hota rangg
Bheetar bhi Guruji, saath mein bhi Ve
Toh phir kaahe ka bhayy?

Ye kadam hon neevenpann ke
Ye kadam hon hriday ke bachpan ke
In kadmon mein shraddha kee bediyaan hon jo sajee hon prem bhaav se
Jinhe pehen kar mai chali aaoon bade chaav se.

In kadmon mein samaayi ho insaaniyat
Ruhaaniyat ho inkee oorja
Ye kadam ruk kar girey huon kee madad karein
Aur raaste kee kisee chunauti se na darein.

Ye kadam layy mein hon meri saanson ke saath
Taaki ye saanson mein basey simran ke sangg chalein
In kadmon ko Guruji Apne hukm se chalaayein
Taaki raasta tayy karte karte mere kasht talein.

Zindagi kee pahadiyon aur vaadiyon ke beech se mujhe aagey badhaayein ye kadam
Guruji kee mehar se inka utsaah badhta rahe jabb takk safar na ho khatam
Karte rahein ye Guruji ke dikhaaye raaste ka anusaran
Kalyuga kee daldal mein phansne aur dhasne se bache rahein har kshan.

Na baandh sakey in kadmon ko vehem ya andhvishwaas kee zanjeer
Guruji kee kripa se ye na toh dagmagaayein aur na hee hon ye kabhi adheer
Kisee aur ka raasta na kaatein, buss Guruji mein magn hokar apne raaste par chalte jaayein
Aur Maalik kee razamandi se Unke sangg milan kee manzil takk pahunch paayein.

Aisee ho mere kadmon kee kahaani
Jiske sangg chale meri zindagi kee zubaani
Banee rahe is kahaani par Guruji kee meharbaani
Chaa jaaye is kahaani par Unkee noor-e-nishaani.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Mere Kadmon Kee Kahaani (03/05/2022)

Leave a comment