March 10, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»# 1481
Neki Kar Kuen Mein Daal
Neki kar kuen mein daal
Is ukti mein nahin hai koi banaavat
Aisee har lokokti aur kahavat
Aashrit karti hai satya ke anubhav kee aahat.
Iska anusaran karne mein
Hamaari hee hai bhalaayee
Yahee sikhaati hai hamein
Guruji kee vadiyaayee.
Achcha kaam karein lekin na karein uske badle mein phal kee asha
βNeki kar kuen mein daal,β is sookti ki kuch kuch aisee hee hai paribhasha
Guruji kahein ki hamaari sewa ho nishkaam
Na intazaar karein hum ki uska kya hoga parinaam.
Kyunki Guruji sewa dwara bhi karaa rahein hain hamaare praarabdh ka bhugtaan
Is se achchaa vaise bhi kya ho sakta hai anjaam
Praarabdh chukaaye bina toh chhutkaara nahin
Aur bhakt par saara bhaar aaye, yeh pyaare Guruji ko gavara nahin.
Tabhi toh karuna ke mahasaagar Guruji
Bhakton ke karmon ka adhiktar bhaar lete Hain swayam par
Aur bilkul thoda sa bhaar bhakt ko dekar
Dete Hain bhakt ko karmon ke bhugtaan ka avsar.
Guruji sab dekh rahe Hain, ye hai sabse badi baat
Humne toh Guruji ko khush karna hai jo Hain hamaare Naath
Isliye neki kee numaish karne kee koi zaroorat hee nahin
Balki nirlipt sewa hee hai adhyaatmik unnati ke liye sahi.
Isliye na mehsoos karein bedili ya niraasha
Balki dein apne mann ko sakaraatmak dilaasa
Koi baat nahin agar koi bhi badla na chukaaye hamaare kiye ehsaan ka
Aisee ummeed karne se bhi kumm hoga avsar hamaare kalyaan ka.
Aaj ya kal yeh yathaarth hamein aayega samajh
Iske anusaran se kaafi uljhanein bhi jaayengi sulajh
Atmasaat hoga iska hamaare vichaar mein
Toh chhalkega ye hamaare vyavhaar mein.
Na rahega ye naam, na rahega ye chehra
Phir bhi sada rahega hamaari atma par Guruji ka pehra
Guruji kee mehar se karte chalein is atma ka uddhaar
Taaki kareeb aaye veh vela jabb atma ka ho Paramatama se deedar.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja