Uddhaar Kee Dagar (03/16/2022)

March 16, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar šŸ™šŸ»šŸ™šŸ» # 1487

  Uddhaar Kee Dagar

Kayi janmon ka bhaar lekar mai aayi
Aapne uddhaar kee dagar dikhaayi
Is kalyuga kee kadak dhoop mein, Guruji,
Aapke dar par mainey chhaaon paayi.

Kashton ke tufaan mein
Aapne dee panaah
Niraasha ke andhere mein
Aapne dikhaayee raah.

Rogon se mai beshak grast rahi
Lekin Aap sangg thei, isliye mastt rahi
Aapke diye huey dhairya se peeda sahi
Jo bhi baat mann mein thi, veh Aapse kahi.

Aapse jod kar seedhi taar
Mehsoos hua mujhe ek anokha pyaar
Aur uss pyaar par ho gaya aisa aitbaar
Ki abb na soojhe koi aur dwaar.

Shukr hai Aapka ki aaya Aapka bulaava
Yakeen hai mujhe ki mere Sarvesh aur koi nahin Hain Aapke alaawa
Guruji ke roop mein Bhagwaan Hain Aap
Deenanath karunanidhaan Hain Aap.

Aapne Apni sharan dekar mera jeevan hai sanvaara
Abb Aapke dar ko chod kar kaheen aur jaana nahin gavaara
Aap hee Hain is bhav saagar mein ek maatra sahaara
Aap hee kee kripa se mil paayega mujhe kinaara.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji šŸ™šŸ»šŸ™šŸ»
Dhirja

Uddhaar Kee Dagar (03/16/2022)

Leave a comment