March 21, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1492
Mann Mein Yugon Ka Vaas
Mann mein hee satyuga hai rehta
Mann mein hee tretayuga
Mann mein hee dwapar ka spandan hai behta
Mann mein hee kalyuga.
Ek din ek yug basey mann mein
Dooje din yug ho dooja
Kabhi kabhi ek hee din mein badlein yug mann mein
Aise asthir mann se kaise kar paayenge pooja?
Sattva gunn ke honei se
Satyuga basta hai mann mein
Lekin mann mein rajogun ke aane se
Yug badal jaata hai ek hee kshan mein.
Tretayug karne lagta hai mann mein vaas
Hadd paar karey toh honei lagg sakta hai lobh aur ashanti ka ehsaas
Agar tabb bhi swami bann kar raha mann
Toh mann mein ho jaayega dwaparayug ka bhi darshan.
Mann ka spandan aaj ya kal, ya phir agley hee pal
Kalyugi spandan mein sakta hai badal
Isliye mann ke vash mein rehna chod kar
Uska swami bann-ne mein ho jaayein hum safal.
Mann ke yug ke badalne se
Badalta hai mann ka bhaav
Uske kaaran badal jaata hai
Uss jann ka bhi swabhaav.
Guruji ne sakaaraatmak soch par diya hai zor
Hamein aadar se karna chahiye is aadesh par gaur
Guruji ne hamaare karmon ka adhiktar bhaar saha hai
Unhonei simran aur dhyan karne ke liye kaha hai
Inhee se badhaate chalein hum sadhana
Aur mann mein karein sattvikta kee sthaapana.
Na vikaar ko ghar banaane dein mann mein, na paap ko
Taaki ve na protsaahit kar paayein klesh aur santaap ko
Sadbhaav ho mann mein sabke prati
Shant aur sthir ho jaaye mann ka bhaav aur mann kee gati.
Mann mein honei lagega satyuga ka vaas
Na krodhit, na adheer hoga mann, na hee hoga veh udaas
Satyugi hoga spandan, madhur hoga mann ka vaataavaran
Aur Guruji kee mehar se nakaratmakta ka hoga haran.
Chakra kee bhanti chalta hai yeh silsila
Is chakra kee oorja hai sakaraatmak vichaardhaara
Jaisi soch, vaisa spandan, aur mann mein yug bhi uske anusaar
Aur jaisa yug mann mein, usee prakaar ke mann mein vichaar.
Guruji toh de rahein Hain ashirwaad
Kyun na karein mann ko satyuga se aabaad
Abb na karein thoda sa bhi aur vilamb
Abhi se hee karein is shubh kaarya ka aarambh.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja