March 24, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1495
Zindagi Jeete Chalein
Kaise jeeni hai yeh zindagi
Isey seekhne mein hee beeta jaa raha hai har pal
Na jaane yeh seekh paayenge ya nahin
Jabb takk is shareer mein hai saanson ka bal.
Kyun na Guruji ka kaha maan lein
Ve Guru bhi Hain aur naath bhi
Ve kabhi galat raasta na dikhaayenge
Ve bheetar bhi Hain aur sada saath bhi.
Aaj takk nahin bhi suni toh abb bhi hai samay
Guruji kee baat maan lein hum bin sanshay
Guruji sangat ko aish karaate Hain
Saath saath karmon ka bhugtaan karaate Hain
Karte Hain saari sangat ka har pal kalyaan
Chaahe kisee ko ho ya na ho is satya ka gyan.
Unhonei kaha banda bann jaane ko
Insaaniyat kee reet nibhaane ko
Neevenpann aur nirmalta par dete Hain Ve zor
Mann mein sada sajee rahe Shukrana kee bhor.
Guruji ne ahem aur vehem chodne ke liye kaha hai
Andhvishwaas se muh modne ke liye kaha hai
Ve chaahein ki badhta rahe hamaara atma-bal
Taaki hamaari chetna kee duvidhaaein jaayein tal.
Guruji har pal vidyamaan Hain
Ve hamaari antaratma mein viraajmaan Hain
Sunein hum apni antaratma kee awaaz ko
Toh awashya jaan paayenge is raaz ko.
Yoon hee toh nahin βShivohamβ shabd ne astitva hai paaya
Guru aur Unka hukm hamaari antaratma mein hai samaaya
Unke har vachan se seekhein jeene ka tareeka
Seekhein aur vyavhaar mein laayein insaaniyat ka saleeqa.
Kisee kee sahaayata kar sakein toh awashya karein
Sansaar ko behtar banaane mein dein apna yogdaan
Bhautikvaad mein ulajhe hain toh sulajhaayein apni zindagi
Antt mein kaam aayegi saralta aur saadagi.
Gupt rakhein hum paath, sewa, aur daan
Kehte Hain Guruji mahaan
Jitna ho sakey karein simran aur dhyan
Aur apne har farz ko nibhaayein dekar sammaan.
Yaad rakhein ki har lamha Guruji kee daat hai
Aur ye ki yeh zindagi Unkee dee hui saugat hai
Jeena nahin bhi seekhe abb takk
Toh Unka naam lekar koshish karein zaroor
Hamaari nek neeyat dekh kar Guruji khush hongei
Aur karte chalenge hamaari duvidha duur.
Thaama hai hamein Guruji mein basey Parwardigaar ne
Ye yoon hee toh nahin hua bekaar mein
Shukrana karein ki Guruji ne kee hai hum par inaayat
Aur zindagi jeete chalein karte huey Unkee ibadat.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja