March 30, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1501
Anupam Ashirwaad
Prem mila Guruji se itna
Ki mera aanchal padd gaya chhota
Karuna milee aisee
Ki kritagya hua yeh mann khota.
Is se pehle ki mai dard se ro paati
Guruji ne mere ghaav par mamta ka marham lagaaya
Is se pehle ki mai langadaati
Girte samay Guruji ne mujhe aakar uthaaya.
Aankhein numm huin jabb jabb
Guruji ne sambhaala tabb tabb
Mai na jaanoon ki himmat aayi kab
Lekin Ve jaanein sab, aakhir Ve Hain Rab.
Jaanoon mai ye ki chaahe raasta ho tedha medha
Mere Guruji andhere ke baad laate Hain savera
Aisa hee Guruji ne sangat ke liye kiya intazaam hai
Kyunki Unkee sharan mein hota bhakt ka kalyaan hai.
Mushkil hee nahin, balki namumkin hai
Lagaana is satya kee sampoornata ka andaaza
Ki pyaare Guruji ne kitnee parivyaapak daat se
Apne har bhakt ko hai nawaza.
Har saans se Guruji ka Shukrana
Har saans ke liye bhi Unhee ko dhanyawaad
Mera toh har dukh dard hua begaana
Guruji ne diya mujhe aisa anupam ashirwaad.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja