March 11, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1482
Nayi Zindagi
Jab jeevan mein milte Hain Guru
Ek nayi zindagi hoti hai shuru
Ek anokhi si zindagi
Jisey sajaa deti hai bandagi.
Jab Guruji ka bulaava aaya
Mera bhi naseeb jagmagaaya
Vaapis lautne ka toh thaa hee nahin koi sawaal
Kyunki Guruji ne apne ashirwaad se kar diya maalaamaal.
Diya Unhonei jeevan daan
Aur liye anek imtehaan
Har imtehaan mein Unka ashish thaa saath
Isliye har imtehaan mein mehsoos hui ye baat
Ki imtehaan jitne kathin hotey jaa rahe hain
Guruji utna hee saahasi banaa rahe Hain.
Guruji ne asal dhan ka arth samjhaaya
Kitne logon se Unhonei milvaaya
Kuch bichhad gaye, kuch reh gaye saath
Is dauran bhi sir par sada raha Guruji ka haath.
Meri aankhon par se parda hataaya
Hakeekat se mujhe waaqif karaaya
Beshak chot milee aur dil bhar aaya
Lekin in anubhavon ne atma-bal badhaaya.
Badalte gaye Ve mera nazariya
Sanvaari Unhonei jeevan kee dagariya
Ye sochne ke bajaaye ki mere saath aisa kyun ho raha hai
Mai jaan-ne lagi ki vaisa mere liye ho raha hai.
Swatantra ichcha, neeyat, ravaiye mein hastakshep kabhi nahin kiya
Jabb jabb maargdarshan maanga, kabhi bhi inkaar nahin kiya
Unkee khaamoshi aur vilamb mein chhipa hota hai koi shubh aarambh
Koi kaarya sthagit ho toh Unkee ichchavash hota hai uska prarambh.
Guruji ne Gurbani kee mahima par zor diya hai
Shabad simran ke sangg jod diya hai
Har vehem se duur karte gaye
Ahankar ko chuur karte gaye
Sewa aur satsang ka arth samjhaaya
Sewa, daan, paath ko gupt rakhna hai, Unhonei bataaya.
Apni mahima ka gungaan karaate Hain
Jis se itne karam katt jaate hain
Duur kiya hai Guruji ne har sanshay
Apni karuna se banaaya hai nirbhay.
Swaasthya aur hunar hai bakhsha
Har pal karte Hain Ve raksha
Safar mein samarpan ka mahatva dikhaaya
Shukrana ke ehsaas ko atmasaat karvaaya.
Protsaahan diya ki satya bann kar chalti jaaoon
Mehar kee ki Unke banaaye saanche mein dhalti jaaoon
Ehsaas dilaaya hai ki apna paraaya sab mithya hai
Chetna kee jaagriti hee asal vidya hai.
Samjhaaya Guruji ne ki har kisee ka safar alag hai
Kalyaan karte huey Unhonei dikhaaya ki aisa hee yeh jag hai
Har kisee ko jeevan mein hai koi kashish
Har koi kar raha kisee khwaahish ko poori karne kee koshish.
Guruji ne ehsaas dilaaya ki Unse judna hai is nayi zindagi ka saar
Is sansaar ke padaarthon aur logon mein aasakti rakhna hai bekaar
Apni taraf se nibhaani hai wafaa
Aur apni oar se nibhaana hai pyaar
Badle mein wafaa aur pyaar na miley
Toh nahin uthaane maansik, vaachik ya bhautik hathiyaar
Kyunki pyaare Guruji dekh rahe Hain sab
Vahee sabse badi baat hai kyunki Ve Hain Rabb.
Kripa karte rehna Guruji, ki mann ka bartan karti rahoon saaf
Aapki bakhshi hui is zindagi mein meri galatiyon ke liye kar deejiyega mujhe maaf
Saari sarbat par Apna anugreh banaaye rakhna, mere Daata
Dua hai ki har janam mein Aapse juda rahe mera naata.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja