Aane Wale Kal Ko Behtareen Banaayein (04/01/2022)

April 1, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1503

Aane Wale Kal Ko Behtareen Banaayein

Divya jyot se hee shuru hota hai is atma ka safar
Divya jyot par hee hota hai khatm
Lene hain sabne is beech mein kitne janm
Iska faisla karte hain hamaare karm.

Praarabdh karma hee kismat bann kar aate hain
Ve hee toh bhaagya kehlaate hain
Aur is jeevan ke jo karma sanchit ho jaate hain
Ve apna parinaam abhi nahin toh agley janmon mein dikhaate hain.

Guruji ne saari sangat ko uddhaar ka raasta dikhaaya hai
Simran, sewa, satsang se swayam mein sudhaar laana sikhaaya hai
Ve hastakshep hamaari swatantrata ichcha mein karte nahin
Ve dekhte Hain ki hamaari neeyat aur hamaara ravaiya uchit hai ya nahin.

Isliye toh apne bheetar jhaankna hai itna zaroori
Mann na bhi karey toh yeh karna hoga jaan kar isey majboori
Nirantar prayaas karenge toh dheere dheere awashya aayega sudhaar
Hum koshish karenge toh awashya madad karenge Parwardigaar.

Kyun na simran aur dhyan se mann mein samta laayein
Aur nishtha bhare bhaav se Guruji ko rijhaayein
Kyun na Guruji ke dikhaaye raaste par chalte jaayein
Aur aaj se hee apne aane wale kal ko behtareen banaayein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aane Wale Kal Ko Behtareen Banaayein (04/01/2022)

Leave a comment