Aye Mann Pyaare (04/06/2022)

April 6, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1508

    Aye Mann Pyaare

Aye mann pyaare, tere jeevan mein jabb hua Guruji ka aagaman
Thaa veh tere liye sabse sundar kshan
Guruji kee mehar ke bina na hota tujhe Unkee oar aakarshan
Na aane de tu is rishte mein kisee bhi kaaran vash koi bhi vikarshan.

Aye mann pyaare, kar Guruji ko nivedan
Ki Ve rok dein tera asaar bhraman
Taaki sudhar jaaye tera jeevan
Taaki tu sthir ho jaaye jaise hota hai gagan.

Aye mann pyaare, kar Guruji ka vandan
Vintee kar Unse ki Ve bakhshte rahein tujhe simran
Taaki tu khud par paaye sanyam
Aur nikharta jaaye tera spandan.

Aye mann pyaare, tujhe milee hai Guruji kee sharan
Nahin hai is se zyada anmol koi bhi dhan
Banaa tu swayam ko Shukrana ke phoolon ka upvan
In phoolon ko khushboo dega Guruji ke pyaar ka chandan.

Aye mann pyaare, kabhi na honei dena Guruji ke prati apne vishwaas ka khandan
Sukhi rehna hai toh kar de tu Unhe sarv-samarpan
Ve taarenge tujhe aise ki chamak jaayega tera darpan
Tu Unhe shraddha bhaav ke suman har pal kar arpan.

Aye mann pyaare, tera sir jhuka hai vahaan, jahaan Hain Guruji ke charan
Guruji ka dar hai kasht haran aur mangal karan
Tu jee le aise, ki Guruji rahein sada tujhse prassann
Unkee mehar se safal hoga tera janam aur maran.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aye Mann Pyaare (04/06/2022)

Leave a comment