Har Din Naya (04/08/2022)

April 8, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1510

                       Har Din Naya

Har din naya
Har subah nayi
Laati hai sangg
Ummeedein aur anubhav kayi.

Kuch khwaab jo dekhe thei raat ko
Kuch upaay jo banaayenge bigdi baat ko
Kuch aise jann jo denge ahamiyat dooje ke saath ko
Kuch aise jo apanaayenge vishwaasghat ko.

Sabhi ke ravaiye ke bhin roop hain
Sabhi ke vichaaron ke bhinn hain rangg
Kayiyon ko jeevan kee kshanbhangurtaa yaad hai rehti
Aur lagta hai ki kayi ghoomte hain amaratva kee beema ke sangg.

Satya toh ye hai ki hona hee hai yahaan se ravaana
Kewal apna karma saath lekar hai jaana
Har koi hai yahaan banjaara
Dhoondh raha hai jeene ka sahaara.

Guruji kee sharan mein yakeenan hai aisa sahaara
Khushakismat hai har veh jann jisey Guruji ne hai sweekaara
Kyunki yahaan har uljhan kee hoti hai suljhan
Aur samarpan se mil paata hai befikri ka dhan.

Guruji apnaa lete Hain har mushkil hamaari
Aur saath mein dete Hain Apne naam kee khumari
Jis mein aalasya ke bajaaye hota hai ek aisa utsaah
Jo aagey badhaata hai chaahe kitnee bhi kathin ho raah.

Khwaab mein katvaa kar karam kayi
Guruji aksar likhte Hain kismat nayi
Yeh toh Unka ek hee tareeka hai
Kyunki Unka toh ruhaani saleeqa hai.

Kathin anubhav ka saamna karne kee
Guruji dete Hain himmat
Mayoosi ko muskuraahat mein badalne kee
Guruji aksar karte Hain inaayat.

Kyunki ummeed kee lau aur aagey badhne ka utsaah
Inse poori hoti hai har kalyaankaari chaah
Aur apni chaahat se kaheen zyada mahatva hai
Sarvgyani Guruji kee marzi ka
Isliye dheere dheere chhota honei lagta hai
Panna ichcha soochi aur arzi ka.

Isliye har nayi subah aur naya din
Na shuru karein Guruji ko Shukrana kahe bin
Guruji ke ashirwaad hum kabhi nahin sakte hain gin
Unse hee har janam mein jeevan hai, Unse hee jeevan ka har naya din.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Har Din Naya (04/08/2022)

Leave a comment