Ashtami Ka Tyohaar (04/09/2022)

April 9, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1511

 Ashtami Ka Tyohaar

Chaitra navratron ke aathvaan din par
Aaya Ashtami ka tyohaar manaane ka shubh avsar
Durga Mata banaati Hain bhakton ke bigde kaam
Unkee vishesh pooja ke din ka Ashtami hai naam.

Chanda Mundd Raktabeej Mahishasur
Mata ne kiya aise daanvon ka vinaash
Achchaayee kee buraayee par vijay hui
Isliye ye tyohaar hai khaas.

Maankar Maa Durga ka roop
Kanyaaon ko pooja jaata hai
Aur Ashtami aur navami ke beech
Sandhi Pooja ka samay aata hai.

Mahishasurmardini aur Mahagauri
Jis bhi roop mein dekhein ya jaanein
Ashtami ko Mata Rani ke bhakt
Bahut hee khaas tyohaar hain maanein.

Guru hon jis bhi bhakt ke jeevan mein
Uska jeevan Unke ashish se khil jaata hai
Guru ke roop mein bhai bandhu murshid bhi milte Hain
Aur mata pita ka prem bhi mil jaata hai.

Guruji ne sada dee hai maa kee mamta
Guruji ne bakhshi hai hamein uddhaar kee kshamta
Sneh ke sundar ashirwaad ke liye Guruji ko dhanyawaad
Guruji ne Apne maatritva se kiya hai hamaara jeevan aabaad.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Ashtami Ka Tyohaar (04/09/2022)

Leave a comment