Ram Navami Ka Tyohaar (04/10/2022)

April 10, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1512

           Ram Navami Ka Tyohaar

Tretayuga kee hai yeh baat
Lekin ye sada judi rahegi hamaari Sanskriti ke saath
Vasant ritu ke Chaitra maas mein
Liya janam Prabhu Ram ne
Hain Ve strot maryada kee prerna ke
Hain Ve mahasaagar daya, neevenpann, aur samvedana ke
Maane jaate Hain Ve purushon mein sarvottam
Isliye Unhe kaha jaata hai Maryada Purshottam.

Chaitra maas mein milee praja ko saugat
Ayodhya kee nagri bann gayi divya dham
Putreshti yagya ke kuch maheenon baad
Janmi Maa Kaushalya aur Raja Dashrath kee santaan.

Ram Navami kehlaata hai yeh paawan tyohaar
Manaayi jaati hai duraachaari kee haar
Vishnu Bhagwaan aaye Prabhu Ram ka lekar avatar
Dharma kee adharma par hui vijay, hui Prabhu Ram kee jaijaikar
Unke udaaharan se seekhe saara sansaar
Ki kitna zaroori hai soch aur karma mein sadachaar.

Raavan aur Lanka se judi kahaani
Anginat janon ne hai jaani
Prabhu Ram ka gungaan hai kalyankaari
Unka ashirwaad hai hitkaari
Kalyaan samaaye Prabhu Ram ke naam mein
Baste Hain Ram Apne sabhi bhakton ke praan mein.

Gyani sakaraatmak kritagya
Sadachari sahaayak aur dharmagya
Vidvaan saamarthyashali dridhpratigya
Jinka dheer shant kantimay hai vyaktitva
Jaagrook veer veeryavaan aur sundar
Prabhu Ram Hain karuna aur kripa ke samundar.

Guruji Hain hamaare shubhchintak karunanidhaan
Ve chaahein ki hum banein insaan
Tabhi toh safal hogi hamaare jeevan kee dastaan
Varna bhugatna padega chaurasi lakh yooniyan ka imtehaan.

Aayega baar baar Ram Navami ka paawan tyohaar
Yaad dilaane ki hum nirantar laate rahein apne charitra mein sudhaar
Koshish karenge toh dheere dheere sabhi sadgun kar paayenge atmasaat
Guruji madadgaar rahenge har pal, Ve kabhi na chodenge hamaara saath.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Ram Navami Ka Tyohaar (04/10/2022)

Leave a comment