April 11, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1513
Tu Kar Simran
Duur se aayi kisee kee awaaz
Ki zindagi aa nahin rahi raas
Guruji ne kaha, tu kar simran
Taaki tript ho jaaye tera mann.
Ek oar sunaayi diya kolahal
Kyunki mann mein thi halchal
Guruji ne kaha, tu kar simran
Shant ho jaayega tera mann.
Dooji oar se aayi yeh pukaar
Ki dukhi kar raha hai yeh sansaar
Guruji ne kaha, tu kar simran
Sukhi ho jaayega tera mann.
Phir kisee ne kee ardaas
Madad karo, mai hoon bahut udaas
Guruji ne kaha, tu kar simran
Prassann ho jaayega tera mann.
Ek bhakt ne zaahir kee abhilasha
Ki kripa kar mita do meri niraasha
Guruji ne kaha, tu kar simran
Ashavaan ho jaayega tera mann.
Ek shishya ne vyakt kiya santaap
Kaha ki mainey kiye hain bahut se paap
Guruji ne kaha, tu kar simran
Pashchaataap aur praayashchit karega tera mann.
Ek roagi ne kaha mujhe hona hai tann mann se niroag
Mujhe seekhna hai yog
Guruji ne kaha, tu kar simran
Yog kee oar jaayega tera mann.
Ek chele ne kaha mujhe ban-na hai maanav
Abb takk mai aise jeeya jaise hoon daanav
Guruji ne kaha, tu kar simran
Tujhe banda banaayega tera mann.
Ek anuyaayi aaya Guruji ke paas
Kaha usne ki usey karna hai nek bhog vilaas
Guruji ne kaha, tu kar simran
Aish karaayega tujhe tera mann.
Ek sewak ko hui chinta ki ho na jaaye usey ahankaar
Kaha usne ki mujhe neevan rakhna mere sarkar
Guruji ne kaha, tu kar simran
Neevanpann sikhaata rahega tujhe tera mann.
Ek shraddhaalu aaya Guruji ke dar par
Dhoondhte huey bakhshe jaane ka avsar
Guruji ne kaha, tu kar simran
Maafi milne ke yogya ho jaayega tera mann.
Ek tapasvi aaya lekar apne jazbaat
Kaha usne ki mai karna chaahta hoon dhanyawaad
Guruji ne kaha, tu kar simran
Shukrana se sajta jaayega tera mann.
Ek sangat aayi Guruji ke kareeb
Kaha usne ki rakhiye mujhe sada Apne kareeb
Guruji ne kaha, tu kar simran
Mujhse juda rahega tera mann.
Guruji ne diya hai simran ka anmol upaay
Yeh upaay hai har paristhiti mein sahaay
Simran karte karte dhyan lagne lagg jaaye
Ekaagrataa ho aur chetna jagg jaaye.
Rahein hum Guruji ke shukraguzaar
Ki hamein dee Unhonei daat simran kee
Unkee mehar se karte rahein simran
Hum hain kinkar, simran hai divya dhan.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja