Jap Le Guruji Ka Naam (02/16/2022)

April 16, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1518

                Jap Le Guruji Ka Naam

Jap le jap le Guruji ka naam
Aur kuch nahin aayega kaam
Aur samay na abb tu ganvaa
Guru naam hai har marz kee davaa.

Yama ke koap se dar jaa bande
Naam ke jap se tar jaa bande
Naam hee tujhe sudhaarega
Naam tera ye jeevan sanvaarega
Naam hee bhavishya nikhaarega
Bhav saagar ke paar utaarega.

Naam Guruji ka roop hai
Unkee shakti ka swaroop hai
Akhand hai, anoop hai
Sharad ritu kee meethi dhoop hai.

Naam yoon jap ki teri avastha aisee bann jaaye
Ki tera roam roam naam mein ramm jaaye
Jo bhakt naam ka divya dhan paaye
Nakaratmakta uske paas rehne na paaye.

Naam se shuddh ho jaata hai spandan
Naam se poorna ho paata hai vandan
Naam kee khushboo mein hai divyata ka chandan
Naam japte japte tar jaayega tera mann.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Jap Le Guruji Ka Naam (02/16/2022)

Leave a comment