Rehmatein Barasne Lagin (04/19/2022)

April 19, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1521

         Rehmatein Barasne Lagin

Kar rahi thi Ishwar kee rehmat ka intazaar
Phir jaana ki Ve Guruji ke roop mein aaye abb kee baar
Le liya jabb se Guruji ne sharan mein
Rehmatein barasne lagin jeevan mein.

Kaheen aur se mila nahin itna pyaar
Guruji ne kar dee itne pyaar kee bauchhaar
Guruji, Jinke kalyaan Hain aparampaar
Jinkee mahima gaata rahega ye sansaar.

Samajh na aaye ki Unke pyaar ko rehmat kahoon
Ya phir kahoon mai Unkee rehmat ko pyaar
Jis bhi tareh se dekhoon, hoon mai itnee shukraguzaar
Guruji ke Hain mujh par anginat upkaar.

Nirogi kaya aur jeevan daan
Ye Unke liye karna hai aasaan kaam
Kyun chhoti chhoti baaton ke liye
Hum karte hain Unhe pareshaan?

Vo sehenshakti, veh atma-bal
Jis se kitnee duvidhaaein jaati hain tal
Veh vishwaas, veh samarpan
Ye sab bhi Unhee se paata hai mann.

Poore parivaar ka rakhte Hain khayal
Bann kar suraksha kee divya dhaal
Bakhshte Hain daat Sewa Simran Satsang kee
Oorja dete Hain ek alag hee dhangg kee.

Guruji mein basaa swayam Ishwar hai
Aur insaan ka shareer toh nashwar hai
Is janam mein jo shareer mila hai
Usne ho jaana nasht hai
Lekin antaratma ka safar chalta rahega
Yeh satya toh spasht hai.

Isliye Guruji hamaari antaratma ko sanvaarein
Taaki hum apne har janam kee yatra sudhaarein
Kyunki tabb hee aayega veh haseen lamha
Jabb antaratma Paramatma mein jaayegi samaa.

Guruji toh pooran Guru Hain
Bhakt tarr jaate Hain Unke vandan se
Mukt karte Hain bhakton ko
Janam maran ke bandhan se.

Aisa Guru mila ho jisko
Uske jeevan mein rehmaton kee kamee nahin
Bin maange hee Guruji karte Hain
Jo bhi bhakt ke liye hota hai sahi.

Guruji kee rehmaton ka bakhaan
Shaayad na kar paaye koi bhi insaan
Kyunki Jo Guru sanvaar sakta hai yahaan aur vahaan
Uskee mahima kee toh anant hai dastaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Rehmatein Barasne Lagin (04/19/2022)

Leave a comment