April 28, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1530
Shukrana Karte Rehna
Shukrana nahin hai sirf ek alfaaz
Shukrana hai sukhi rehne ka raaz
Kyunki Shukrana bakhshta hai veh santosh
Jis se sukh ka anubhav hota hai har pal har roaz.
Shukrana hai veh avastha, veh sthiti
Jo hai lobh se bachne kee vidhi
Aur lobh se bachna hai zaroori
Taaki na ho panj choron ke samaksh majboori.
Kaam, krodh, lobh, moh, ahankar
Shukrana bachaata hai inse baar baar
Aur jis irshya ko janam dete hain ye vikaar
Shukrana nahin karne deta uss irshya ko bhakt par vaar.
Shukrana se miltee hai mann ko shanti
Shukrana ka spandan laata hai astitva par kanti
Shukrana Guruji ko karta hai prassann
Shukrana bhakt ko banaata hai sampann.
Shukrana aur khushi ek dooje par hain nirbhar
Isliye Shukrana deta hai khush rehne ka avsar
Aur Shukrana ka vishwaas ke saath hai aisa sundar naata
Ki dono mein se ek doosre ko hai badhaata.
Shukrana sakaraatmakta se aagey badhne kee prerna hai
Shukrana shuddhi par chalne kee chetna hai
Shukrana karte rehna, yeh rakhna yaad
Shukrana mein basaa hai Guruji ka ashirwaad.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja