Abb Kee Baar (05/01/2022)

May 1, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1533

                   Abb Kee Baar

Na sirf saans le kar zindagi se naata jod
Balki apne zinda honei kee nishaani chod
Is duniya ko behtar banaane mein de apna yogdaan
Taaki tujhe tasalli ho ki teri zindagi aayi kisee kaam.

Har din tu bann pehle se behtar insaan
Koshish kar ki badhta jaaye tera adhyaatmik gyan
Simran aur dhyan ka badhaata chal prayaas
Badhaata chal dil mein Guruji ko paane kee aas.

Guruji ko arzi sunaane ke liye keh se tu apni jindri deewani se
Kyunki Unhe paana mumkin ho sakta hai Unhee kee meharbaani se
Isliye Shukrana ke sangg karta chal ardaas
Ve Apne naam ke amrit se bujhaayenge teri atma kee pyaas.

Jab tu jaayega vahaan
Sab kuch dharaa reh jaayega yahaan
Tere karma hee banenge teri dastaan
Guruji ke pyaar mein samay guzaar le tu yahaan

Unhe Apne chitt mein tu aise kar viraajmaan
Ki har pal mehsoos ho tujhe Unka sahaara
Zindagi aayi hai bannkar imtehaan
Koshish kar ki aisa imtehaan na aaye dobaara.

Kyunki jabb takk hongei aise imtehaan baar baar
Tabb takk kisee na kisee yooni mein bhogna hoga sansaar
Isliye kuch is tareh se jee le tu abb kee baar
Ki tujhe apne mein samaa le mukti kee jyotirmay bahaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Abb Kee Baar (05/01/2022)

Leave a comment