Yeh Rishta (05/02/2022)

May 2, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1534

                      Yeh Rishta

Yeh rishta jo hai Guruji aur tera
Ye hai tere jeevan ka sanatan savera
Yeh rishta hai sthaayi, anant, akhand
Ye tujhe pahunchaayega sachkhand.

Yeh rishta sabse uttam hai
Nibhaata chal tu isey pyaar se
Guruji ke aur bhi kareeb ho ja
Na darr tu sansaar se.

Yeh rishta hai mata pita aur santaan ka
Yeh rishta hai bhai bandhu ke pyaar ka
Yeh rishta hai murshid aur shishya ka
Yeh rishta hai paigaam tere ujjwal bhavishya ka.

Koi rishta nahin hai is se zyada anmol
Is rishte ko duniyavi tareekon se na tol
Is rishte mein nibhaani hai jo toone wafa
Toh apna har farz neki se kar tu adaa.

Is rishte kee doar Guruji ne hai thaami
Unpar apne atoot vishwaas mein na aane dena khaami
Satark reh apni bhakti mein, na kar koi bhi naadaani
Aur Guruji mein mastt rehkar honei de apni ruh ko deewani.

Jitna aagey badhega tu is rishte mein
Badhengi chunautiyan aur kathinaayiyaan
Jitna bheetar tu jaayega apne
Utnee bhaane lagengi tujhe tanhaaiyyaan.

Kyunki pooja mein tu baat karega Guruji se
Aur dhyan ke samay tu Unhe sunn paayega
Unke har hukm ka paalan kar tu rishte ko nibhaana
Dekhna, tu nishchay hee tarr jaayega.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Yeh Rishta (05/02/2022)

Leave a comment